musibat ban na jae tez-raftari hamari
musībat ban na jaa.e tez-raftārī hamārī
abhī puurī nahīñ hai yaar tayyārī hamārī
akele baiThte haiñ aur tujh ko sochte haiñ
hamāre kaam aa jaatī hai bekārī hamārī
tumheñ har dam kaf-e-afsos to malnā paḌegā
agar sābit bhī ho jaa.e gunahgārī hamārī
badalte mausamoñ kā haath thāme chalne vaalo
sukūñ pahuñchā.egī tum ko shajar-kārī hamārī
hameñ ab khā rahā hai us ko dukh pahuñchāne kā dukh
hamīñ par aa girī talvār do-dhārī hamārī
musibat ban na jae tez-raftari hamari
abhi puri nahin hai yar tayyari hamari
akele baiThte hain aur tujh ko sochte hain
hamare kaam aa jati hai bekari hamari
tumhein har dam kaf-e-afsos to malna paDega
agar sabit bhi ho jae gunahgari hamari
badalte mausamon ka hath thame chalne walo
sukun pahunchaegi tum ko shajar-kari hamari
hamein ab kha raha hai us ko dukh pahunchane ka dukh
hamin par aa giri talwar do-dhaari hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.