muskurānā hī kaam hai us ka
ruuTh jaanā to 'aam hai us ka
maiñ ne ik saltanat banā.ī hai
aur is par nizām hai us ka
us ke hoñToñ se phuul jhaḌte haiñ
itnā mīThā kalām hai us ka
vo galī kaise bhuul saktā huuñ
us galī meñ qiyām hai us ka
shāhzādī hai hukm kartī hai
shaah to bas ġhulām hai us ka
muskurana hi kaam hai us ka
ruTh jaana to 'am hai us ka
main ne ek saltanat banai hai
aur is par nizam hai us ka
us ke honTon se phul jhaDte hain
itna miTha kalam hai us ka
wo gali kaise bhul sakta hun
us gali mein qiyam hai us ka
shahzadi hai hukm karti hai
shah to bas ghulam hai us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.