Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muskurane pe unhen kis liye ruswa karte

Sirajuddin Siraj

muskurane pe unhen kis liye ruswa karte

Sirajuddin Siraj

MORE BYSirajuddin Siraj

    muskurāne pe unheñ kis liye rusvā karte

    baat kyā thī ki jis baat charchā karte

    likhnā paḌtī jo kabhī un ke sarāpā pe ġhazal

    pahroñ tanhā.ī meñ baiThe hue sochā karte

    vo to yuuñ kahiye ki dekhā nahīñ un ko varna

    dekh lete jo unheñ log to dekhā karte

    ab hameñ apnī tabāhī meñ koī shak na rahā

    ham ne ḳhud dekh liyā un ko ishāra karte

    sham.a yādoñ farozāñ thī farozāñ rahī

    tīrgī ghar meñ jo hotī to ujālā karte

    ham ko shohrat na ḳhvāhish na tamannā koī

    bhuul jaate jo hameñ log to achchhā karte

    haath aatā jo kabhī jins sūrat ai dost

    ahl-e-fan apne ḳhayāloñ bhī saudā karte

    sang aur ḳhisht ke bāzār meñ kyoñ baiTh ga.e

    log ā.īne ko kis tarah gavārā karte

    apne ahbāb se shikva hai yahī ham ko 'sirāj'

    der lagtī nahīñ jhūTe ko sachchā karte

    muskurane pe unhen kis liye ruswa karte

    baat hi kya thi ki jis baat ka charcha karte

    likhna paDti jo kabhi un ke sarapa pe ghazal

    pahron tanhai mein baiThe hue socha karte

    wo to yun kahiye ki dekha nahin un ko warna

    dekh lete jo unhen log to dekha karte

    ab hamein apni tabahi mein koi shak na raha

    hum ne KHud dekh liya un ko ishaara karte

    shama yaadon ki farozan thi farozan hi rahi

    tirgi ghar mein jo hoti to ujala karte

    hum ko shohrat ki na KHwahish na tamanna koi

    bhul jate jo hamein log to achchha karte

    hath aata jo kabhi jins ki surat ai dost

    ahl-e-fan apne KHayalon ka bhi sauda karte

    sang aur KHisht ke bazar mein kyon baiTh gae

    log aaine ko kis tarah gawara karte

    apne ahbab se shikwa hai yahi hum ko 'siraj'

    der lagti hi nahin jhuTe ko sachcha karte

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now