muskurane se kahan jata hai dukh
muskurāne se kahāñ jaatā hai dukh
yuuñ chhupāne se kahāñ jaatā hai dukh
aur bhar jaatā hai siine meñ dhuāñ
jī jalāne se kahāñ jaatā hai dukh
dukh ke aane se chale jaate haiñ sukh
sukh ke aane se kahāñ jaatā hai dukh
us ke shāne se lagā to yuuñ lagā
us ke shāne se kahāñ jaatā hai dukh
'bhāskar' kā dil baḌā mahfūz hai
is Thikāne se kahāñ jaatā hai dukh
muskurane se kahan jata hai dukh
yun chhupane se kahan jata hai dukh
aur bhar jata hai sine mein dhuan
ji jalane se kahan jata hai dukh
dukh ke aane se chale jate hain sukh
sukh ke aane se kahan jata hai dukh
us ke shane se laga to yun laga
us ke shane se kahan jata hai dukh
'bhaskar' ka dil baDa mahfuz hai
is Thikane se kahan jata hai dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.