Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muskurane se muddaa kya hai

Syed Hamid

muskurane se muddaa kya hai

Syed Hamid

MORE BYSyed Hamid

    muskurāne se mudda.ā kyā hai

    kah rahe haiñ tumheñ huā kyā hai

    pairahan adl pahan aa.ī

    kaun mazlūm hai jafā kyā hai

    shikve ke naam se barham haiñ

    ye nahīñ pūchhte gilā kyā hai

    Daal jis ke hausle ne sipar

    vo tunak-ārzū jiyā kyā hai

    ḳhidmat-e-bandagān-e-haq ke sivā

    is ḳharābe meñ kīmiyā kyā hai

    sādgī meñ hazār purkārī

    bāñkpan meñ chhupā huā kyā hai

    izzat-e-nafs rakh sako mahfūz

    aur is ke sivā duā kyā hai

    saaf do-pāT āsmān-o-zamīñ

    daana ġhāfil hai āsiyā kyā hai

    muskurane se muddaa kya hai

    kah rahe hain tumhein hua kya hai

    pairahan adl ka pahan aai

    kaun mazlum hai jafa kya hai

    shikwe ke nam se hi barham hain

    ye nahin puchhte gila kya hai

    Dal di jis ke hausle ne sipar

    wo tunak-arzu jiya kya hai

    KHidmat-e-bandagan-e-haq ke siwa

    is KHarabe mein kimiya kya hai

    sadgi mein hazar purkari

    bankpan mein chhupa hua kya hai

    izzat-e-nafs rakh sako mahfuz

    aur is ke siwa dua kya hai

    saf do-paT aasman-o-zamin

    dana ghafil hai aasiya kya hai

    Source:

    Lamhaat (Pg. 39)

    • Author: Syed Hamid
      • Edition: 1987
      • Publisher: Taj Compnay, Delhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now