mu-e-safed sar pe dubara nikal gaya
mū-e-safed sar pe dubāra nikal gayā
Dhalne lagā jo 'aql ke sāñche meñ Dhal gayā
jalte hue hasīn patangoñ ko dekh kar
aisā huā ki aap hī parvāna jal gayā
rakhtā thā ḳhār-e-zīst ko juute kī nok par
andar kā aabla so bahut phūl-phal gayā
muTThī meñ merī ret thī aur vo phisal ga.ī
duuje meñ ek barf kā TukḌā thā gal gayā
jī meñ kabhī-kabhār to aatā hai bol duuñ
uTh us ke āsare se nikal chal bahal gayā
āñkheñ nikāl kar ke sajā dī haiñ taaq meñ
kyā aañkh le ke ghūmtā manzar badal gayā
sab ko lagā mu'āf kiyā hai use magar
ġhusse se mere haath kā patthar pighal gayā
mu-e-safed sar pe dubara nikal gaya
Dhalne laga jo 'aql ke sanche mein Dhal gaya
jalte hue hasin patangon ko dekh kar
aisa hua ki aap hi parwana jal gaya
rakhta tha KHar-e-zist ko jute ki nok par
andar ka aabla so bahut phul-phal gaya
muTThi mein meri ret thi aur wo phisal gai
duje mein ek barf ka TukDa tha gal gaya
ji mein kabhi-kabhaar to aata hai bol dun
uTh us ke aasare se nikal chal bahal gaya
aankhen nikal kar ke saja di hain taq mein
kya aankh le ke ghumta manzar badal gaya
sab ko laga mu'af kiya hai use magar
ghusse se mere hath ka patthar pighal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.