Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na aae kaam kisi ke jo zindagi kya hai

Barqi Azmi

na aae kaam kisi ke jo zindagi kya hai

Barqi Azmi

MORE BYBarqi Azmi

    na aa.e kaam kisī ke jo zindagī kyā hai

    bashar-navāz na ho jo vo aadmī kyā hai

    zamāna-sāz haiñ jo vo haiñ maslahat-andesh

    jo ho ḳhulūs se aarī vo dostī kyā hai

    pas-az-vafāt na leñ jis naam us ke aziiz

    tavañgarī hai agar ye to muflisī kyā hai

    karo na dast-darāzī ḳhudā ke bandoñ par

    hai naam us shujā.at to buzdilī kyā hai

    haqīqī dostī vo hai ho jis meñ josh-o-ḳharosh

    nashāt-e-rūh na ho jis meñ ḳhush-dilī kyā hai

    azīz-tar haiñ mujhe ḳhud se bhī hasan-chishtī

    batā.ūñ aap ko kyā banda-parvarī kyā hai

    na ho jo qārī-o-sāme.a pe kuchh asar-andāz

    fareb mahz hai 'barqī' vo shā.irī kyā hai

    na aae kaam kisi ke jo zindagi kya hai

    bashar-nawaz na ho jo wo aadmi kya hai

    zamana-saz hain jo wo hain maslahat-andesh

    jo ho KHulus se aari wo dosti kya hai

    pas-az-wafat na len jis ka nam us ke aziz

    tawangari hai agar ye to muflisi kya hai

    karo na dast-daraazi KHuda ke bandon par

    hai nam us ka shujaat to buzdili kya hai

    haqiqi dosti wo hai ho jis mein josh-o-KHarosh

    nashat-e-ruh na ho jis mein KHush-dili kya hai

    aziz-tar hain mujhe KHud se bhi hasan-chishti

    bataun aap ko kya banda-parwari kya hai

    na ho jo qari-o-samea pe kuchh asar-andaz

    fareb mahz hai 'barqi' wo shairi kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now