Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na aankhen surKH rakhte hain na chehre zard rakhte hain

Ram Riyaz

na aankhen surKH rakhte hain na chehre zard rakhte hain

Ram Riyaz

MORE BYRam Riyaz

    na āñkheñ surḳh rakhte haiñ na chehre zard rakhte haiñ

    ye zālim log bhī insāniyat dard rakhte haiñ

    mujhe shak hai ki tum tiira shaboñ meñ kaise nikaloge

    chaTāneñ kāTne hausla to mard rakhte haiñ

    mohabbat karne vāloñ tumheñ pahchān batlā.ūñ

    diloñ meñ aag ke bā-vasf siina sard rakhte haiñ

    havā ne ahl-e-sahrā ko ajab malbūs baḳhshā hai

    saroñ par log pagḌī ke bajā.e gard rakhte haiñ

    use dekhā to chehra Dhāñp loge apne hāthoñ se

    ham apne sāthiyoñ meñ 'rām' aisā fard rakhte haiñ

    na aankhen surKH rakhte hain na chehre zard rakhte hain

    ye zalim log bhi insaniyat ka dard rakhte hain

    mujhe shak hai ki tum tera shabon mein kaise nikaloge

    chaTanen kaTne ka hausla to mard rakhte hain

    mohabbat karne walon ki tumhein pahchan batlaun

    dilon mein aag ke ba-wasf sina sard rakhte hain

    hawa ne ahl-e-sahra ko ajab malbus baKHsha hai

    saron par log pagDi ke bajae gard rakhte hain

    use dekha to chehra Dhanp loge apne hathon se

    hum apne sathiyon mein 'ram' aisa fard rakhte hain

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 372)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now