Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na aasman ki kahani na wan ka qissa likh

Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi

na aasman ki kahani na wan ka qissa likh

Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi

MORE BYAli Zaheer Rizvi Lakhnavi

    na āsmāñ kahānī na vaañ qissa likh

    uThā davāt o qalam aadmī chehra likh

    hazār shor sameTe hue hai merā vajūd

    mire vajūd ke sahrā ko chashm-e-dariyā likh

    binā-e-mausam-e-ġham-hā-e-zāt hai duniyā

    ise rashk-e-iram likh ki shāḳh-e-tūbā likh

    vo nuur phailā vo phūTī koī kiran taaza

    tamām umr añdherā thā na aisā likh

    jo maut gayā ik jām-e-ambagīñ tarah

    use maut manzil ik masīhā likh

    vo ajnabī to zarā ajnabī nahīñ lagtā

    use to ġhair na kah koī hai vo apnā likh

    bichhaḌ gayā hai to kyā saath bhī to thā barsoñ

    'zahīr' ruuh o badan use rishta likh

    na aasman ki kahani na wan ka qissa likh

    uTha dawat o qalam aadmi ka chehra likh

    hazar shor sameTe hue hai mera wajud

    mere wajud ke sahra ko chashm-e-dariya likh

    bina-e-mausam-e-gham-ha-e-zat hai duniya

    ise tu rashk-e-iram likh ki shaKH-e-tuba likh

    wo nur phaila wo phuTi koi kiran taza

    tamam umr andhera hi tha na aisa likh

    jo maut pi gaya ek jam-e-ambagin ki tarah

    use tu maut ki manzil ka ek masiha likh

    wo ajnabi to zara ajnabi nahin lagta

    use to ghair na kah koi hai wo apna likh

    bichhaD gaya hai to kya sath bhi to tha barson

    'zahir' ruh o badan ka use tu rishta likh

    Source:

    Jab Zaminon Se Shajar Ugtey Hain (Pg. 106)

    • Author: Ali Zaheer
      • Edition: 1994
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now