Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na ab wo pahli si tarz-e-girya na sham-e-gham ki hama-hami hai

Aila Tahir

na ab wo pahli si tarz-e-girya na sham-e-gham ki hama-hami hai

Aila Tahir

MORE BYAila Tahir

    na ab vo pahlī tarz-e-girya na shām-e-ġham hamā-hamī hai

    be-ashk āñkhoñ ke ratjagoñ meñ ḳhayāl saare bujhe hue haiñ

    sunahrī ghaḌiyoñ lams thā vo mire takallum ke bāñkpan meñ

    magar ye aalam hai ab ki alfāz abr-e-ġham meñ ghire hue haiñ

    tumhāre dar ko takte rahnā machalte jazboñ shoḳhiyoñ meñ

    magar ab is chashm-e-nā-tavāñ meñ hazār neze gaḌe hue haiñ

    dhanak chehra udaas honā phir us pe bhī vo shafaq khulnā

    yaqīn maano ki ham se nādāñ unhī dinoñ ke jiye hue haiñ

    vo us ke jhagḌe hamārī ḳhātir vo saare logoñ se bair rakhnā

    kahāñ hai ab aa ke dekhe ham kin adāvatoñ meñ ghire hue haiñ

    Dase hue haiñ ye āgahī ke na rahe haiñ na mar rahe haiñ

    na pūchho in se sabab koī bhī ye log pahle Dare hue haiñ

    jo chuke haiñ vo log kyā the ki un ulfat mahkī duniyā

    jahāñ thamī thī ghaḌī rukī thī vahīñ pe ham bhī khaḌe hue haiñ

    na ab wo pahli si tarz-e-girya na sham-e-gham ki hama-hami hai

    be-ashk aankhon ke ratjagon mein KHayal sare bujhe hue hain

    sunahri ghaDiyon ka lams tha wo mere takallum ke bankpan mein

    magar ye aalam hai ab ki alfaz abr-e-gham mein ghire hue hain

    tumhaare dar ko hi takte rahna machalte jazbon ki shoKHiyon mein

    magar ab is chashm-e-na-tawan mein hazar neze gaDe hue hain

    dhanak sa chehra udas hona phir us pe bhi wo shafaq sa khulna

    yaqin mano ki hum se nadan unhi dinon ke jiye hue hain

    wo us ke jhagDe hamari KHatir wo sare logon se bair rakhna

    kahan hai ab aa ke dekhe hum kin adawaton mein ghire hue hain

    Dase hue hain ye aagahi ke na ji rahe hain na mar rahe hain

    na puchho in se sabab koi bhi ye log pahle Dare hue hain

    jo ja chuke hain wo log kya the ki un ki ulfat ki mahki duniya

    jahan thami thi ghaDi ruki thi wahin pe hum bhi khaDe hue hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now