na andheron mein kahin the na ujalon mein tum
na añdheroñ meñ kahīñ the na ujāloñ meñ tum
phir kahāñ se chale aa.e ho ḳhayāloñ meñ tum
maiñ ne dekhā hai kisī ko bhī nahīñ dikhtā maiñ
jab nahīñ hote mire dekhne vāloñ meñ tum
un ko mil jaatī hai manzil tumheñ kyā miltā hai
jaan kyoñ phūñkte rahte ho niDhāloñ meñ tum
saḳht ā.eñge javāb is meñ koī shak hī nahīñ
narmī bartoge agar yuuñ hī savāloñ meñ tum
buujh pāoge nahīñ kaun sī apnī chhab hai
dekhte rahiyo phir ā.īna ġhazāloñ meñ tum
tum jise DhūñDhne aa.e ho vahīñ miltā hai
jaao gum jaao phir apne hī ḳhayāloñ meñ tum
sab ke jaisā tumheñ honā hī nahīñ thā 'tarkash'
aur hī Dhab ke nirāle the nirāloñ meñ tum
na andheron mein kahin the na ujalon mein tum
phir kahan se chale aae ho KHayalon mein tum
main ne dekha hai kisi ko bhi nahin dikhta main
jab nahin hote mere dekhne walon mein tum
un ko mil jati hai manzil tumhein kya milta hai
jaan kyon phunkte rahte ho niDhaalon mein tum
saKHt aaenge jawab is mein koi shak hi nahin
narmi bartoge agar yun hi sawalon mein tum
bujh paoge nahin kaun si apni chhab hai
dekhte rahiyo phir aaina ghazalon mein tum
tum jise DhunDhne aae ho wahin milta hai
jao gum jao phir apne hi KHayalon mein tum
sab ke jaisa tumhein hona hi nahin tha 'tarkash'
aur hi Dhab ke nirale the niralon mein tum
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 106)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.