na  añgiyā  na  kurtī  hai  jaanī  tumhārī  
nahīñ  paas  koī  nishānī  tumhārī  
huī  'rind'  to  zindagānī  tumhārī  
yahī  hai  agar  nā-tavānī  tumhārī  
ziyāda  huī  yaad  jaanī  tumhārī  
ġharaz  qahr  hai  mehrbānī  tumhārī  
na  bhūlūñgā  hargiz  na  bhūlā  huuñ  ab  tak  
ināyat  karam  mehrbānī  tumhārī  
shabīh  aap  kī  khīñch  degā  ye  maanā  
adā  kis  tarah  khīñche  maanī  tumhārī  
tabāh-o-ḳharāb  ik  jahāñ  ko  kiyā  hai  
ḳhudā  kā  ġhazab  hai  javānī  tumhārī  
vahī  kah  rahā  huuñ  jo  farmāte  ho  tum  
mirī  guftugū  hai  zabānī  tumhārī  
barābar  samajhte  ho  ġhairoñ  ke  mujh  ko  
rahe  mehrbāñ  qadrdānī  tumhārī  
dil  o  diida  lapkā  hai  phañsne  kā  tum  ko  
kahāñ  tak  karūñ  pāsbānī  tumhārī  
bas  ab  shakl  dikhlāo  be-jā  hai  ġhamza  
bahut  sun  chuke  lan-tarānī  tumhārī  
adam  ko  chalā  le  ke  dāġh-e-mohabbat  
dikhā.ūñgā  sab  ko  nishānī  tumhārī  
kiyā  imtihāñ  merā  sau  ma.arakoñ  meñ  
vahī  hai  magar  bad-gumānī  tumhārī  
jagā  kar  dil-e-zār  ne  hijr  kī  shab  
sahar  tak  kahī  hai  kahānī  tumhārī  
burā  gar  na  maano  to  sach  sach  maiñ  kah  duuñ  
tum  achchhe  burī  bad-zabānī  tumhārī  
karam  kījiye  aa.iye  hazrat-e-ishq  
hai  ḳhūn-e-jigar  mehmānī  tumhārī  
abas  be-sabab  be-jahat  rūThte  ho  
yahī  to  barī  ḳhū  hai  jaanī  tumhārī  
bhalā  tum  hī  munsif  ho  lillāh  bolo  
vo  kyā  baat  thī  jo  na  maanī  tumhārī  
vo  piirī  meñ  bhī  'rind'  dekhe  ab  aa  kar  
jise  yaad  hove  javānī  tumhārī  
na  angiya  na  kurti  hai  jaani  tumhaari  
nahin  pas  koi  nishani  tumhaari  
hui  'rind'  to  zindagani  tumhaari  
yahi  hai  agar  na-tawani  tumhaari  
ziyaada  hui  yaad  jaani  tumhaari  
gharaz  qahr  hai  mehrbani  tumhaari  
na  bhulunga  hargiz  na  bhula  hun  ab  tak  
inayat  karam  mehrbani  tumhaari  
shabih  aap  ki  khinch  dega  ye  mana  
ada  kis  tarah  khinche  mani  tumhaari  
tabah-o-KHarab  ek  jahan  ko  kiya  hai  
KHuda  ka  ghazab  hai  jawani  tumhaari  
wahi  kah  raha  hun  jo  farmate  ho  tum  
meri  guftugu  hai  zabani  tumhaari  
barabar  samajhte  ho  ghairon  ke  mujh  ko  
rahe  mehrban  qadrdani  tumhaari  
dil  o  dida  lapka  hai  phansne  ka  tum  ko  
kahan  tak  karun  pasbani  tumhaari  
bas  ab  shakl  dikhlao  be-ja  hai  ghamza  
bahut  sun  chuke  lan-tarani  tumhaari  
adam  ko  chala  le  ke  dagh-e-mohabbat  
dikhaunga  sab  ko  nishani  tumhaari  
kiya  imtihan  mera  sau  marakon  mein  
wahi  hai  magar  bad-gumani  tumhaari  
jaga  kar  dil-e-zar  ne  hijr  ki  shab  
sahar  tak  kahi  hai  kahani  tumhaari  
bura  gar  na  mano  to  sach  sach  main  kah  dun  
tum  achchhe  buri  bad-zabani  tumhaari  
karam  kijiye  aaiye  hazrat-e-ishq  
hai  KHun-e-jigar  mehmani  tumhaari  
abas  be-sabab  be-jahat  ruThte  ho  
yahi  to  bari  KHu  hai  jaani  tumhaari  
bhala  tum  hi  munsif  ho  lillah  bolo  
wo  kya  baat  thi  jo  na  mani  tumhaari  
wo  piri  mein  bhi  'rind'  dekhe  ab  aa  kar  
jise  yaad  howe  jawani  tumhaari  
 
    
 
    
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.