na apni baat na mera qusur likkha tha
na apnī baat na merā qusūr likkhā thā
shikāyatoñ se bharā ḳhat zarūr likkhā thā
rasūl aa.e to dahshat-garoñ ke biich aa.e
añdherī raat kī qismat meñ nuur likkhā thā
maiñ chāhtā bhī jo milnā to un se kyā miltā
jabīñ pe duur se dekhā ġhurūr likkhā thā
vo ghar ki jis meñ kisī ko kisī se uns nahīñ
baḌe se board pe dār-us-surūr likkhā thā
'naqīb' ko thī faqat surḳhiyoñ se dilchaspī
jo mudda'ā thā vo bainassutūr likkhā thā
na apni baat na mera qusur likkha tha
shikayaton se bhara KHat zarur likkha tha
rasul aae to dahshat-garon ke bich aae
andheri raat ki qismat mein nur likkha tha
main chahta bhi jo milna to un se kya milta
jabin pe dur se dekha ghurur likkha tha
wo ghar ki jis mein kisi ko kisi se uns nahin
baDe se board pe dar-us-surur likkha tha
'naqib' ko thi faqat surKHiyon se dilchaspi
jo mudda'a tha wo bainassutur likkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.