Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na bahar hi lage hai dil na ghar jaane ko ji chahe

Nadim Ashrafi Burhanpuri

na bahar hi lage hai dil na ghar jaane ko ji chahe

Nadim Ashrafi Burhanpuri

MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri

    na bāhar lage hai dil na ghar jaane ko chāhe

    samajh meñ kuchh nahīñ aatā kidhar jaane ko chāhe

    baḌī hangāma-parvar haiñ mirī tanhā.iyāñ yuuñ to

    kisī anjuman meñ bhī magar jaane ko chāhe

    salīb-o-dār rāheñ ye bastī aur ye vīrāne

    batā zauq-e-junūñ terā kidhar jaane ko chāhe

    milānā muskurā kar apnī nazreñ un nazroñ se

    jab ai shīrāza-e-hastī bikhar jaane ko chāhe

    bhaTaktā phir rahā huuñ dar-ba-dar din ke ujāloñ meñ

    añdhere shaam ke bikhreñ to ghar jaane ko chāhe

    pa-e-tafrīh jaane kis taraf vo ruḳh kareñ apnā

    ujāloñ tarah har-sū bikhar jaane ko chāhe

    ye duniyā jabki ranj-o-dard se māmūr hai 'nādim'

    magar phir bhī yahāñ apnā Thahar jaane ko chāhe

    na bahar hi lage hai dil na ghar jaane ko ji chahe

    samajh mein kuchh nahin aata kidhar jaane ko ji chahe

    baDi hangama-parwar hain meri tanhaiyan yun to

    kisi ki anjuman mein bhi magar jaane ko ji chahe

    salib-o-dar ki rahen ye basti aur ye virane

    bata zauq-e-junun tera kidhar jaane ko ji chahe

    milana muskura kar apni nazren un ki nazron se

    jab ai shiraaza-e-hasti bikhar jaane ko ji chahe

    bhaTakta phir raha hun dar-ba-dar din ke ujalon mein

    andhere sham ke bikhren to ghar jaane ko ji chahe

    pa-e-tafrih jaane kis taraf wo ruKH karen apna

    ujalon ki tarah har-su bikhar jaane ko ji chahe

    ye duniya jabki ranj-o-dard se mamur hai 'nadim'

    magar phir bhi yahan apna Thahar jaane ko ji chahe

    Source:

    Kasak (Pg. 49)

    • Author: Nadim Ashrafi Burhanpuri
      • Publisher: Nadim Ashrafi Burhanpuri
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now