Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na bachpan mein kaho hum ko kaDi baat

Sakhi Lakhnvi

na bachpan mein kaho hum ko kaDi baat

Sakhi Lakhnvi

MORE BYSakhi Lakhnvi

    na bachpan meñ kaho ham ko kaḌī baat

    na khulvāo ki chhoTā muñh baḌī baat

    suno to gauhar-e-dandāñ tārīf

    abhī ho jaa.e motī laḌī baat

    baḌe andher taz.īn hai aaj

    na hone degī missī dhaḌī baat

    jahāñ aġhyār un ke paas baiThe

    vahīñ bas ho ga.ī koī ghaḌī baat

    payām-e-vasl par vo ho ga.e tursh

    ġhazab aayā khaTā.ī meñ paḌī baat

    ham un se aaj shikva kareñge

    ukhāḌeñge vo barsoñ gaḌī baat

    tabī.at un hai kuchh ukhḌī ukhḌī

    kisī ne phir vahāñ merī juḌī baat

    ye kis mizhgāñ barchhī thā mazkūr

    anī ho kar kaleje meñ aḌī baat

    'saḳhī' vo yuuñ to boleñge na ham se

    kabhī ho jā.egī dhoke-dhaḌī baat

    na bachpan mein kaho hum ko kaDi baat

    na khulwao ki chhoTa munh baDi baat

    suno to gauhar-e-dandan ki tarif

    abhi ho jae moti ki laDi baat

    baDe andher ki tazin hai aaj

    na hone degi missi ki dhaDi baat

    jahan aghyar un ke pas baiThe

    wahin bas ho gai koi ghaDi baat

    payam-e-wasl par wo ho gae tursh

    ghazab aaya khaTai mein paDi baat

    hum un se aaj ka shikwa karenge

    ukhaDenge wo barson ki gaDi baat

    tabiat un ki hai kuchh ukhDi ukhDi

    kisi ne phir wahan meri juDi baat

    ye kis mizhgan ki barchhi ka tha mazkur

    ani ho kar kaleje mein aDi baat

    'saKHi' wo yun to bolenge na hum se

    kabhi ho jaegi dhoke-dhaDi baat

    Source:

    Deewan-e-Sakhi(Naghma-e-Hazar) (Pg. ebook-27 page-18)

    • Author: Sakhi Lakhnvi
      • Edition: 1882
      • Publisher: Daruttaba Bandobast, Hyderabad
      • Year of Publication: 1882
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now