Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na bhulega KHayal o rang-e-ruKH ka nama-bar hona

Bekhud Mohani

na bhulega KHayal o rang-e-ruKH ka nama-bar hona

Bekhud Mohani

MORE BYBekhud Mohani

    na bhūlegā ḳhayāl o rang-e-ruḳh nāma-bar honā

    hadīs-e-shauq se harf-o-zabāñ be-ḳhabar honā

    muhīt-e-dahr har mauj hai ik lahr bijlī

    mubārak āh-e-muztar ko tirī barq-e-nazar honā

    shikāyat-sanj-e-qudrat kyoñ na ho majbūrī-e-bulbul

    qafas meñ thā kyā josh-e-numū se bāl-o-par honā

    mirī aahoñ halchal hai nizām-e-dahr barham hai

    nidā.eñ aa rahī haiñ aaj mushkil hai sahar honā

    khule haiñ dil ke hāthoñ aah asrār-e-junūñ kyā kyā

    qayāmat kar gayā is rāzdāñ parda-dar honā

    ye baḌhte valvale ye josh-e-gul ye apnī majbūrī

    qafas se chhūT kar qismat meñ thā be-bāl-o-par honā

    rah-e-vahshat uThtī āñdhiyoñ haal kahtā hai

    sarāpā kārvān-e-shauq gard-e-safar honā

    qafas meñ fasl-e-gul kyā ḳhabar haañ kuchh to kahtā hai

    faqat ik vaqt meñ josh-e-numū-e-bāl-o-par honā

    zamāna mahv-e-hairat aur vo majbūr-e-tabassum hai

    tilism-e-rāz hai 'beḳhud' mirī mizhgāñ tar honā

    na bhulega KHayal o rang-e-ruKH ka nama-bar hona

    hadis-e-shauq se harf-o-zaban ka be-KHabar hona

    muhit-e-dahr ki har mauj hai ek lahr bijli ki

    mubarak aah-e-muztar ko teri barq-e-nazar hona

    shikayat-sanj-e-qudrat kyon na ho majburi-e-bulbul

    qafas hi mein tha kya josh-e-numu se baal-o-par hona

    meri aahon ki halchal hai nizam-e-dahr barham hai

    nidaen aa rahi hain aaj mushkil hai sahar hona

    khule hain dil ke hathon aah asrar-e-junun kya kya

    qayamat kar gaya is raazdan ka parda-dar hona

    ye baDhte walwale ye josh-e-gul ye apni majburi

    qafas se chhuT kar qismat mein tha be-baal-o-par hona

    rah-e-wahshat ki uThti aandhiyon ka haal kahta hai

    sarapa karwan-e-shauq ka gard-e-safar hona

    qafas mein fasl-e-gul ki kya KHabar han kuchh to kahta hai

    faqat ek waqt mein josh-e-numu-e-baal-o-par hona

    zamana mahw-e-hairat aur wo majbur-e-tabassum hai

    tilism-e-raaz hai 'beKHud' meri mizhgan ka tar hona

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Bekhud Mohani (Pg. 15)

    • Author: Bekhud Mohani
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now