Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na chand ka na sitaron na aaftab ka hai

Sarfaraz Khalid

na chand ka na sitaron na aaftab ka hai

Sarfaraz Khalid

MORE BYSarfaraz Khalid

    na chāñd na sitāroñ na āftāb hai

    savāl ab to mirī jaañ tire javāb hai

    ye kis ne pairahan-e-ḳhvāb chaak kar Daalā

    tumhārī āñkhoñ meñ ye ḳhauf kisī azaab hai

    duā karo ki na ho qahr-e-īzdī nāzil

    ye vaqt apne gunāhoñ ke ehtisāb hai

    kisī ne jaañ luTā vafāoñ ḳhātir

    tumhīñ batāo ki qissa ye kis kitāb hai

    sa.ūbat-e-safar-e-zīst se niDhāl huuñ maiñ

    kuchh aisā hai ki mirā aa.ina sarāb hai

    na chand ka na sitaron na aaftab ka hai

    sawal ab to meri jaan tere jawab ka hai

    ye kis ne pairahan-e-KHwab chaak kar Dala

    tumhaari aankhon mein ye KHauf kisi azab ka hai

    dua karo ki na ho qahr-e-izdi nazil

    ye waqt apne gunahon ke ehtisab ka hai

    kisi ne jaan hi luTa di wafaon ki KHatir

    tumhin batao ki qissa ye kis kitab ka hai

    saubat-e-safar-e-zist se niDhaal hun main

    kuchh aisa hai ki mera aaina sarab ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now