Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na chheD nam-o-nasab aur nasl-o-rang ki baat

Zafar Naseemi

na chheD nam-o-nasab aur nasl-o-rang ki baat

Zafar Naseemi

MORE BYZafar Naseemi

    na chheḌ nām-o-nasab aur nasl-o-rang baat

    ki chal nikaltī hai aksar yahīñ se jang baat

    tumhāre shahr meñ kis kis ko aa.ina dikhlā.eñ

    hazār tarah ke chehre hazār rang baat

    har ek baat pe ta.ana har ek baat pe tanz

    kabhī to yaar kiyā kar kisī se Dhang baat

    maiñ us ke va.ada-e-fardā pe kyā yaqīñ kartā

    hañsī meñ Taal gayā ek shoḳh-o-shang baat

    uThā hai sañg-e-malāmat ba-nām-e-shīsha-e-dil

    qarār paa.ī hai shīshe ke saath sang baat

    ajiib haal hai yāroñ be-hisī 'zafar'

    sukūt-e-marg aalam rabāb-o-chang baat

    na chheD nam-o-nasab aur nasl-o-rang ki baat

    ki chal nikalti hai aksar yahin se jang ki baat

    tumhaare shahr mein kis kis ko aaina dikhlaen

    hazar tarah ke chehre hazar rang ki baat

    har ek baat pe tana har ek baat pe tanz

    kabhi to yar kiya kar kisi se Dhang ki baat

    main us ke wada-e-farda pe kya yaqin karta

    hansi mein Tal gaya ek shoKH-o-shang ki baat

    uTha hai sang-e-malamat ba-nam-e-shisha-e-dil

    qarar pai hai shishe ke sath sang ki baat

    ajib haal hai yaron ki be-hisi ka 'zafar'

    sukut-e-marg ka aalam rabab-o-chang ki baat

    Source:

    Tuk Tuk Deedam (Pg. 62)

    • Author: Zafar Naseemi
      • Publisher: Surkhab Publications, Bhopal
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now