Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na chheD tazkire hargiz gham-e-nihani par

Kamal Kataria Karan

na chheD tazkire hargiz gham-e-nihani par

Kamal Kataria Karan

MORE BYKamal Kataria Karan

    na chheḌ tazkire hargiz ġham-e-nihānī par

    vo shaḳhs ro na paḌe ġham tarjumānī par

    na varġhalā.iye sāhab hameñ mohabbat se

    hameñ yaqīñ na gumāñ 'ishq kahānī par

    sitam uThāyā kiye aur suḳhan-shanās hue

    ye tajraba bhī kiyā apnī be-zabānī par

    ye shahr jhuuT haamī hai haq-parasto yahāñ

    zabāneñ kaaT jaatī haiñ haq-bayānī par

    muhāl hai ki tire dar se uTh ke pā.ūñ

    ye jaan sadqe magar aisī nā-tavānī par

    sila yahī hai vafāoñ jāntā huuñ maiñ

    so ġham-zada maiñ nahīñ apnī rā.egānī par

    jinheñ shu'ūr nahīñ kuchh bhī she’r-goī

    vo tanz kas rahe haiñ merī she’r-ḳhvānī par

    bajā.e ḳhushbū ke vahshat bikhertī hai 'karan'

    tilism phūñk diyā kis ne rāt-rānī par

    na chheD tazkire hargiz gham-e-nihani par

    wo shaKHs ro na paDe gham ki tarjumani par

    na warghalaiye sahab hamein mohabbat se

    hamein yaqin na guman 'ishq ki kahani par

    sitam uThaya kiye aur suKHan-shanas hue

    ye tajraba bhi kiya apni be-zabani par

    ye shahr jhuT ka hami hai haq-parasto yahan

    zabanen kaT di jati hain haq-bayani par

    muhaal hai ki tere dar se uTh ke ja paun

    ye jaan sadqe magar aisi na-tawani par

    sila yahi hai wafaon ka jaanta hun main

    so gham-zada main nahin apni raegani par

    jinhen shu'ur nahin kuchh bhi she’r-goi ka

    wo tanz kas rahe hain meri she’r-KHwani par

    bajae KHushbu ke wahshat bikherti hai 'karan'

    tilism phunk diya kis ne raat-rani par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now