Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na de tabib dawa dard mein kami ke liye

Alimuddin Aleem

na de tabib dawa dard mein kami ke liye

Alimuddin Aleem

MORE BYAlimuddin Aleem

    na de tabīb davā dard meñ kamī ke liye

    ki dil rog zarūrī hai zindagī ke liye

    rah-e-hayāt meñ Thokar na ab lagegī tumheñ

    ki zaḳhm-e-dil haiñ mire sab raushnī ke liye

    thī us ke jism pe bosīda be-kasī ridā

    magar vo maañg rahā thā duā sabhī ke liye

    maiñ māntā huuñ ki niklā hai sach khoj meñ vo

    magar ye kaam nahīñ sahl har kisī ke liye

    mirī zabān pe kab tak lagā.egā pahra

    zamīr bech rahā hai jo bartarī ke liye

    talāsh kartā hai dariyā reg-zāroñ meñ

    ye ḳhud-kushī hai andāz tishnagī ke liye

    lagāte ḳhuub ho misrā magar 'alīm' suno

    aruuz jānñā lāzim hai shā.irī ke liye

    na de tabib dawa dard mein kami ke liye

    ki dil ka rog zaruri hai zindagi ke liye

    rah-e-hayat mein Thokar na ab lagegi tumhein

    ki zaKHm-e-dil hain mere sab ki raushni ke liye

    thi us ke jism pe bosida be-kasi ki rida

    magar wo mang raha tha dua sabhi ke liye

    main manta hun ki nikla hai sach ki khoj mein wo

    magar ye kaam nahin sahl har kisi ke liye

    meri zaban pe kab tak lagaega pahra

    zamir bech raha hai jo bartari ke liye

    talash karta hai dariya tu reg-zaron mein

    ye KHud-kushi ka hai andaz tishnagi ke liye

    lagate KHub ho misra magar 'alim' suno

    aruz jaanna lazim hai shairi ke liye

    Source:

    Hawa Ki Yurish (Pg. 135)

    • Author: Alimuddin Aleem
      • Publisher: Gulistan Publications, Kolkata
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now