Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na dikhaiyo hijr ka dard-o-alam tujhe deta hun charKH-e-KHuda ki qasam

Shah Naseer

na dikhaiyo hijr ka dard-o-alam tujhe deta hun charKH-e-KHuda ki qasam

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    na dikhā.iyo hijr dard-o-alam tujhe detā huuñ charḳh-e-ḳhudā qasam

    mire yaar ko mujh se na kiijo judā tujhe sarvar-e-har-dūsrā qasam

    vo sanam ka.ī din se hai mujh se ḳhafā nahīñ aatā idhar ko ḳhudā qasam

    dil-e-mushfiq-e-man use khīñch to tujhe jazba-e-kāh-rubā qasam

    yahī chāhe hai ki gale se lago zarā mere dahan se dahan to malo

    nahīñ ġhurfe se aan ke jhāñk to lo tumheñ apnī hai sharm-o-hayā qasam

    kabhī shab ko akelā jo pā.ūñ tujhe to gale se phir apne lagā.ūñ tujhe

    kabhī chhātī pe apnī sulā.ūñ tujhe mujhe ishq ke jaur-o-jafā qasam

    tire uThte pahlū meñ dard uThā tire jaate dam ye adam ko chalā

    mujhe chhoḌ ke aah ghar ko na tujhe apne funduq-e-pā qasam

    mujhe bahr-e-ḳhudā kahīñ us se chhuḌā tire hijr shab hai ye kaalī balā

    nahīñ jhuuT maiñ kahtā kuchh is meñ zarā mujhe terī zulf-e-dotā qasam

    ajī dekho to kaisī uThī hai ghaTā yahī aish din hai uḌā le mazā

    karo bāda-kashī mire māh-laqā tumheñ detā huuñ abr-o-havā qasam

    ajī jaatī hai aaj vasl shab nahīñ kyuuñ hai milāyā laboñ se ye lab

    mujhe ab to uḌāne de aish ab tujhe apne hai mehr-o-vafā qasam

    lage terī balā mujhe āfat-e-jāñ kabhū phir bhī ye kah ke khilā.egā paañ

    mire sar qasam mirī jaañ qasam mire ġhamza-o-nāz-o-adā qasam

    mareñ ġhair pe aap maiñ tum pe marūñ mujhe kyā hai ġharaz kaho kyuuñ maiñ jalūñ

    yahī maiñ hai tum se na baat karūñ mujhe apnī is āh-e-rasā qasam

    kise dekhūñ kaho lagūñ kis ke gale shab-e-vasl meñ mujh se jo ye kahe

    ki ye bāda-e-surḳh le tujhe mire hāthoñ ke rañg-e-hinā qasam

    kahāñ jaatā hai muñh ko chhupā.e hue tire hijr meñ jaate haiñ ham to mare

    kabhī muḌ ke idhar ko bhī dekh to le tujhe hazrat-e-sher-e-ḳhudā qasam

    suno serī na ho mujhe khaao ajī mujhe piiTo jo mujh ko girāo ajī

    mire ghar se na aaj to jaao ajī tumheñ merī shab bukā qasam

    mire bichhḌe ko mujh se milāo koī mire rūThe ko ke manāo koī

    are yaaro tum us ko bulāo koī tumheñ ḳhāliq-e-arz-o-samā qasam

    na dikhaiyo hijr ka dard-o-alam tujhe deta hun charKH-e-KHuda ki qasam

    mere yar ko mujh se na kijo juda tujhe sarwar-e-har-dusra ki qasam

    wo sanam kai din se hai mujh se KHafa nahin aata idhar ko KHuda ki qasam

    dil-e-mushfiq-e-man use khinch to la tujhe jazba-e-kah-ruba ki qasam

    yahi chahe hai ji ki gale se lago zara mere dahan se dahan to malo

    nahin ghurfe se aan ke jhank to lo tumhein apni hai sharm-o-haya ki qasam

    kabhi shab ko akela jo paun tujhe to gale se phir apne lagaun tujhe

    kabhi chhati pe apni sulaun tujhe mujhe ishq ke jaur-o-jafa ki qasam

    tere uThte hi pahlu mein dard uTha tere jate hi dam ye adam ko chala

    mujhe chhoD ke aah tu ghar ko na ja tujhe apne hi funduq-e-pa ki qasam

    mujhe bahr-e-KHuda kahin us se chhuDa tere hijr ki shab hai ye kali bala

    nahin jhuT main kahta kuchh is mein zara mujhe teri hi zulf-e-dota ki qasam

    aji dekho to kaisi uThi hai ghaTa yahi aish ka din hai uDa le maza

    karo baada-kashi mere mah-laqa tumhein deta hun abr-o-hawa ki qasam

    aji jati hai aaj tu wasl ki shab nahin kyun hai milaya labon se ye lab

    mujhe ab to uDane de aish tu ab tujhe apne hai mehr-o-wafa ki qasam

    lage teri bala mujhe aafat-e-jaan kabhu phir bhi ye kah ke khilaega pan

    mere sar ki qasam meri jaan ki qasam mere ghamza-o-naz-o-ada ki qasam

    maren ghair pe aap main tum pe marun mujhe kya hai gharaz kaho kyun main jalun

    yahi ji main hai tum se na baat karun mujhe apni is aah-e-rasa ki qasam

    kise dekhun kaho lagun kis ke gale shab-e-wasl mein mujh se jo tu ye kahe

    ki ye baada-e-surKH tu pi le tujhe mere hathon ke rang-e-hina ki qasam

    kahan jata hai munh ko chhupae hue tere hijr mein jate hain hum to mare

    kabhi muD ke idhar ko bhi dekh to le tujhe hazrat-e-sher-e-KHuda ki qasam

    suno seri na ho mujhe khao aji mujhe piTo jo mujh ko girao aji

    mere ghar se na aaj to jao aji tumhein meri hi shab ki buka ki qasam

    mere bichhDe ko mujh se milao koi mere ruThe ko la ke manao koi

    are yaro tum us ko bulao koi tumhein KHaliq-e-arz-o-sama ki qasam

    Source:

    Kulliyat-e-Shah Nasiir áPart IIâ(rekhta website) (Pg. 246)

    • Author: Shah Naseer
      • Edition: 1977
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore, Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now