na dushmanon se watan mein raha kabhi mahfuz
na dushmanoñ se vatan meñ rahā kabhī mahfūz
jilā-vatan huuñ to lagtī hai zindagī mahfūz
na jaane kaun sā ġham murtasim hai is dil par
ki mere hoñToñ ne kar lī hai ḳhāmushī mahfūz
kamāl-e-zabt bhī ab is se baḌh ke kyā hogā
hamāre siine meñ rahtā hai dard bhī mahfūz
jo aa.e mere ta.āqub meñ ho ga.e ġharqāb
hai merī naav kināre pe aaj bhī mahfūz
ye mo.ajiza bhī dikhāyā hai āgahī ne hameñ
siyāh-ḳhānoñ meñ kar lī hai raushnī mahfūz
na dushmanon se watan mein raha kabhi mahfuz
jila-watan hun to lagti hai zindagi mahfuz
na jaane kaun sa gham murtasim hai is dil par
ki mere honTon ne kar li hai KHamushi mahfuz
kamal-e-zabt bhi ab is se baDh ke kya hoga
hamare sine mein rahta hai dard bhi mahfuz
jo aae mere taaqub mein ho gae gharqab
hai meri naw kinare pe aaj bhi mahfuz
ye moajiza bhi dikhaya hai aagahi ne hamein
siyah-KHanon mein kar li hai raushni mahfuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.