Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to hai dahr mein har dard ka har gham ka ilaj

Aziz Warsi

yun to hai dahr mein har dard ka har gham ka ilaj

Aziz Warsi

MORE BYAziz Warsi

    yuuñ to hai dahr meñ har dard har ġham ilaaj

    kaash ho jaa.e mirī kāhish-e-paiham ilaaj

    aman-e-sāhil hai jo tuġhyānī-e-barham ilaaj

    phir to mushkil nahīñ insāñ ke kisī ġham ilaaj

    zindagī chhīnñe vaale tirī qudrat qasam

    tere hāthoñ meñ thā bīmār shab-e-ġham ilaaj

    haañ vahī phuul jo shabnam badaulat mahke

    un se bhī ho na sakā girya-e-shabnam ilaaj

    jab satāyā ġham-e-daurāñ ne to itnī

    ek aalam se kyā dūsre aalam ilaaj

    piine vaalo abhī kuchh der mere saath raho

    aap kar sakte haiñ kuchh dīda-e-pur-nam ilaaj

    ab to ehsās mujhe bhī yahī hotā hai 'azīz'

    mere ash.ār meñ muzmar hai mire ġham ilaaj

    yun to hai dahr mein har dard ka har gham ka ilaj

    kash ho jae meri kahish-e-paiham ka ilaj

    aman-e-sahil hai jo tughyani-e-barham ka ilaj

    phir to mushkil nahin insan ke kisi gham ka ilaj

    zindagi chhinne wale teri qudrat ki qasam

    tere hathon mein tha bimar shab-e-gham ka ilaj

    han wahi phul jo shabnam ki badaulat mahke

    un se bhi ho na saka girya-e-shabnam ka ilaj

    jab sataya gham-e-dauran ne to itni pi li

    ek aalam se kya dusre aalam ka ilaj

    pine walo abhi kuchh der mere sath raho

    aap kar sakte hain kuchh dida-e-pur-nam ka ilaj

    ab to ehsas mujhe bhi yahi hota hai 'aziz'

    mere ashaar mein muzmar hai mere gham ka ilaj

    Source:

    Mehraab (Pg. 23)

    • Author: Aziiz vaarsii
      • Edition: 1976
      • Publisher: qaumi council bara-e-farogh urdu
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now