Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na gul khile hain na gardish mein jam aaya hai

Nafees Ahmad Sahar

na gul khile hain na gardish mein jam aaya hai

Nafees Ahmad Sahar

MORE BYNafees Ahmad Sahar

    na gul khile haiñ na gardish meñ jaam aaya hai

    ye kaisā ab ke chaman meñ nizām aaya hai

    amal se zarf se īsār se mohabbat se

    hamārā dil zamāne ke kaam aaya hai

    atā huā hai jinheñ azm sarfaroshī

    unhīñ ko dār-o-rasan salām aaya hai

    libās-e-sharm-o-hayā nazr-e-maslahat kar ke

    ye kaun dekhnā bālā-e-bām aaya hai

    ham apne dard ko bhī dard kah nahīñ sakte

    koī batā.e ye kaisā maqām aaya hai

    tilism TuuT gayā hai 'sahar' judā.ī

    nigāh-e-mast jab bhī payām aaya hai

    na gul khile hain na gardish mein jam aaya hai

    ye kaisa ab ke chaman mein nizam aaya hai

    amal se zarf se isar se mohabbat se

    hamara dil hi zamane ke kaam aaya hai

    ata hua hai jinhen azm sarfaroshi ka

    unhin ko dar-o-rasan ka salam aaya hai

    libas-e-sharm-o-haya nazr-e-maslahat kar ke

    ye kaun dekhna baala-e-baam aaya hai

    hum apne dard ko bhi dard kah nahin sakte

    koi batae ye kaisa maqam aaya hai

    tilism TuT gaya hai 'sahar' judai ka

    nigah-e-mast ka jab bhi payam aaya hai

    Source:

    Tanweer-e-Sahar (Pg. 71)

    • Author: Nafees Ahmad Sahar
      • Publisher: Shahid Publications, Bhopal
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now