aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na hasil hua sabr-o-aram dil ka

Akbar Allahabadi

na hasil hua sabr-o-aram dil ka

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    na hāsil huā sabr-o-ārām dil

    na niklā kabhī tum se kuchh kaam dil

    mohabbat nashsha rahe kyuuñ na har-dam

    bharā hai mai-e-ishq se jaam dil

    phañsāyā to āñkhoñ ne dām-e-balā meñ

    magar ishq meñ ho gayā naam dil

    huā ḳhvāb rusvā ye ishq-e-butāñ meñ

    ḳhudā hai ab mere badnām dil

    ye bāñkī adā.eñ ye tirchhī nigāheñ

    yahī le ga.iiñ sabr-o-ārām dil

    dhuāñ pahle uThtā thā āġhāz thā vo

    huā ḳhaak ab ye hai anjām dil

    jab āġhāz-e-ulfat meñ jal rahā hai

    to kyā ḳhaak batlā.ūñ anjām dil

    ḳhudā ke liye pher do mujh ko sāhab

    jo sarkār meñ kuchh na ho kaam dil

    pas-e-marg un par khulā hāl-e-ulfat

    ga.ī le ke ruuh apnī paiġhām dil

    taḌaptā huā yuuñ na paayā hamesha

    kahūñ kyā maiñ āġhāz-o-anjām dil

    dil us be-vafā ko jo dete ho 'akbar'

    to kuchh soch lo pahle anjām dil

    na hasil hua sabr-o-aram dil ka

    na nikla kabhi tum se kuchh kaam dil ka

    mohabbat ka nashsha rahe kyun na har-dam

    bhara hai mai-e-ishq se jam dil ka

    phansaya to aankhon ne dam-e-bala mein

    magar ishq mein ho gaya nam dil ka

    hua KHwab ruswa ye ishq-e-butan mein

    KHuda hi hai ab mere badnam dil ka

    ye banki adaen ye tirchhi nigahen

    yahi le gain sabr-o-aram dil ka

    dhuan pahle uThta tha aaghaz tha wo

    hua KHak ab ye hai anjam dil ka

    jab aaghaz-e-ulfat hi mein jal raha hai

    to kya KHak batlaun anjam dil ka

    KHuda ke liye pher do mujh ko sahab

    jo sarkar mein kuchh na ho kaam dil ka

    pas-e-marg un par khula haal-e-ulfat

    gai le ke ruh apni paigham dil ka

    taDapta hua yun na paya hamesha

    kahun kya main aaghaz-o-anjam dil ka

    dil us be-wafa ko jo dete ho 'akbar'

    to kuchh soch lo pahle anjam dil ka

    Source:

    Kulliyat-e-Akbar (Pg. 95)

    • Author: Akbar Allahabadi
      • Publisher: Farid Book Depot
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now