Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na hai umangon ka rang koi na aks jazbon ki tazgi ka

Shuja Farrukhi

na hai umangon ka rang koi na aks jazbon ki tazgi ka

Shuja Farrukhi

MORE BYShuja Farrukhi

    na hai umañgoñ rang koī na aks jazboñ tāzgī

    thakā thakā bujhā bujhā ye kaisā chehrā hai zindagī

    sab ārzūoñ ke taar TuuTe bichhaḌ ga.e sāz-e-dil se naġhme

    bharā hai chīḳhoñ se merā siina taqāza kiije na rāgnī

    dasoñ dishāoñ se ghūrtī haiñ ġhamoñ ke mausam zard āñkheñ

    ye kaise mumkin hai ho sake ab vajūd sarsabz aadmī

    anā tadabbur vaqār mujh meñ talavvun aur intishār mujh meñ

    mujhe na hairat se dekh duniyā mizāj huuñ bīsvīñ sadī

    tamām lashkar aziyyatoñ ke 'shujā' ab muntazir khaḌe haiñ

    jise ho bardāsht karb-o-ġham kare vo iz.hār āgahī

    na hai umangon ka rang koi na aks jazbon ki tazgi ka

    thaka thaka sa bujha bujha sa ye kaisa chehra hai zindagi ka

    sab aarzuon ke tar TuTe bichhaD gae saz-e-dil se naghme

    bhara hai chiKHon se mera sina taqaza kije na ragni ka

    dason dishaon se ghurti hain ghamon ke mausam ki zard aankhen

    ye kaise mumkin hai ho sake ab wajud sarsabz aadmi ka

    ana tadabbur waqar mujh mein talawwun aur intishaar mujh mein

    mujhe na hairat se dekh duniya mizaj hun biswin sadi ka

    tamam lashkar aziyyaton ke 'shuja' ab muntazir khaDe hain

    jise ho bardasht karb-o-gham ki kare wo izhaar aagahi ka

    Source:

    Aqleem-e-Qalam (Pg. 48)

    • Author: Shuja Farrukhi
      • Publisher: Zain offset Press, Bhopal
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now