na hum rahe na hamare wo dard-mand rahe

na hum rahe na hamare wo dard-mand rahe
Muzaffar Ahmad Muzaffar
MORE BYMuzaffar Ahmad Muzaffar
na ham rahe na hamāre vo dard-mand rahe
rahe to halqa-e-yārāñ meñ shar-pasand rahe
hamāre she'r the fitrat kā aa.ina lekin
anā-gazīda ḳhudāoñ ko nā-pasand rahe
na mehrbāñ kabhī ham par huā hai dast-e-karam
tamām 'umr tumhāre niyāz-mand rahe
pukārtī rahīñ pāmāl bastiyāñ un ko
vo apne hujra-e-jāñ meñ sukūñ-pasand rahe
shikast-ḳhurda haiñ āshuftagān-e-shab ke qalam
magar ḳhayāl ke aivān sarbuland rahe
ye kis ufuq pe rahā hai 'muzaffar' apnā dimāġh
sitāre apne hadaf ke tah-e-kamand rahe
na hum rahe na hamare wo dard-mand rahe
rahe to halqa-e-yaran mein shar-pasand rahe
hamare she'r the fitrat ka aaina lekin
ana-gazida KHudaon ko na-pasand rahe
na mehrban kabhi hum par hua hai dast-e-karam
tamam 'umr tumhaare niyaz-mand rahe
pukarti rahin pamal bastiyan un ko
wo apne hujra-e-jaan mein sukun-pasand rahe
shikast-KHurda hain aashuftagan-e-shab ke qalam
magar KHayal ke aiwan sarbuland rahe
ye kis ufuq pe raha hai 'muzaffar' apna dimagh
sitare apne hadaf ke tah-e-kamand rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.