na hamārī hai ye urdu na tumhārī urdu
balki har qaum kī hai rāj-dulārī urdu
sar kiye is ne akele hī hazāroñ maidāñ
kisī maidān meñ ab tak nahīñ haarī urdu
ab bhī stage pe bhāshan jo diyā jaatā hai
bolte is meñ bhī haiñ raam bihārī urdu
is ko har mulk kā insān samajh letā hai
is se har shaḳhs ko hai aaj bhī pyārī urdu
jo muḳhālif haiñ ba-zāhir unheñ ma.alūm nahīñ
raat din boltī hai un kī kahārī urdu
paak har aib se hai aur bhī dāman is kā
gangā jamunā ke hai paanī se nikhārī urdu
kahīñ 'ġhālib' kī haiñ nazmeñ kahīñ chakbast kī haiñ
sheḳh-o-panDit ne hai mil-jul ke sañvārī urdu
aaj sannāTe meñ kahtī hai ye bhārat maatā
tum ko ma.alūm nahīñ ham ko hai pyārī urdu
dostoñ ke liye paiġhām-e-masarrat hai magar
dushmanoñ ke liye be-shak hai kaTārī urdu
coat patlūn pahan kar bhī na chhoḌī ham ne
ham ne khaddar kī banā Daalī hai saarī urdu
naujavānān-e-vatan se hai ye 'nāvak' kā payām
marte marte bhī zabāñ par rahe jaarī urdu
na hamari hai ye urdu na tumhaari urdu
balki har qaum ki hai raj-dulari urdu
sar kiye is ne akele hi hazaron maidan
kisi maidan mein ab tak nahin haari urdu
ab bhi stage pe bhashan jo diya jata hai
bolte is mein bhi hain ram bihaari urdu
is ko har mulk ka insan samajh leta hai
is se har shaKHs ko hai aaj bhi pyari urdu
jo muKHalif hain ba-zahir unhen malum nahin
raat din bolti hai un ki kahaari urdu
pak har aib se hai aur bhi daman is ka
ganga jamuna ke hai pani se nikhaari urdu
kahin 'ghaalib' ki hain nazmen kahin chakbast ki hain
sheKH-o-panDit ne hai mil-jul ke sanwari urdu
aaj sannaTe mein kahti hai ye bhaarat mata
tum ko malum nahin hum ko hai pyari urdu
doston ke liye paigham-e-masarrat hai magar
dushmanon ke liye be-shak hai kaTari urdu
coat patlun pahan kar bhi na chhoDi hum ne
hum ne khaddar ki bana Dali hai sari urdu
naujawanan-e-watan se hai ye 'nawak' ka payam
marte marte bhi zaban par rahe jari urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.