Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na hansta hun na rota hun mujhe bhi masala hai

Viral Desai

na hansta hun na rota hun mujhe bhi masala hai

Viral Desai

MORE BYViral Desai

    na hañstā huuñ na rotā huuñ mujhe bhī mas.ala hai

    ḳhushī bhī mas.ala mujh ko udāsī mas.ala hai

    ye pīḌhī se rivāyat makānī mas.ala hai

    udāsī to hamārā ḳhāndānī mas.ala hai

    marīz-e-ishq huuñ ta.avīz mujh pe be-asar haiñ

    so sab kahte haiñ mujh ko āsmānī mas.ala hai

    mohabbat qaid ho ke rah ga.ī sarhad had tak

    mohabbat se siyāsat ko siyāsī mas.ala hai

    jahāñ pe ronā ho mujh ko vahāñ rotā nahīñ maiñ

    mirī āñkhoñ paanī bhī mujhe mas.ala hai

    mire sab sher ḳhārij haiñ ye maiñ bhī jāntā huuñ

    ye uulā mas.ala hai aur saanī mas.ala hai

    na hansta hun na rota hun mujhe bhi masala hai

    KHushi bhi masala mujh ko udasi masala hai

    ye piDhi se riwayat ka makani masala hai

    udasi to hamara KHandani masala hai

    mariz-e-ishq hun tawiz mujh pe be-asar hain

    so sab kahte hain mujh ko aasmani masala hai

    mohabbat qaid ho ke rah gai sarhad ki had tak

    mohabbat se siyasat ko siyasi masala hai

    jahan pe rona ho mujh ko wahan rota nahin main

    meri aankhon ka pani bhi mujhe hi masala hai

    mere sab sher KHarij hain ye main bhi jaanta hun

    ye ula masala hai aur sani masala hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now