Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na hawa-e-jah-e-sikandari na hawas ki mahfil-e-jam mile

Ayaz Azmi

na hawa-e-jah-e-sikandari na hawas ki mahfil-e-jam mile

Ayaz Azmi

MORE BYAyaz Azmi

    na havā-e-jāh-e-sikandarī na havas ki mahfil-e-jam mile

    mire dost tere dayār mujhe ḳhaak zer-e-qadam mile

    sar-e-bazm un janāb meñ kise tāb-e-dīd-e-jamāl thī

    vo to kahiye ḳhalvat-e-nāz meñ baḌī ehtiyāt se ham mile

    kise ab sunā.eñ hadīs-e-ġham kise dil ke daaġh dikhā.eñ ham

    thī karam jin se umiid kuchh vahī mahv-e-kār-e-sitam mile

    yahī mai-kade nizām hai yahī tarz-e-gardish-e-jām hai

    ki bajā.e bāda-e-mushk-bū kabhī tishnagī kabhī sam mile

    jo nigāh zarf-shanās ho to ye farz pīr-e-muġhāñ hai

    na kisī jaam chhalak paḌe na kisī ko zarf se kam mile

    vahī bazm-gah ke charāġh the thī unhī se shaukat-e-razm-gah

    magar aah banda-e-maslahat vahī ahl-e-saif-o-qalam mile

    vahāñ chaak parda-e-rāz thā baḌī go-mago meñ 'ayāz' thā

    jinheñ apne zohd pe naaz thā vo asīr-e-zulf-e-sanam mile

    na hawa-e-jah-e-sikandari na hawas ki mahfil-e-jam mile

    mere dost tere dayar ki mujhe KHak zer-e-qadam mile

    sar-e-bazm un ki janab mein kise tab-e-did-e-jamal thi

    wo to kahiye KHalwat-e-naz mein baDi ehtiyat se hum mile

    kise ab sunaen hadis-e-gham kise dil ke dagh dikhaen hum

    thi karam ki jin se umid kuchh wahi mahw-e-kar-e-sitam mile

    yahi mai-kade ka nizam hai yahi tarz-e-gardish-e-jam hai

    ki bajae baada-e-mushk-bu kabhi tishnagi kabhi sam mile

    jo nigah zarf-shanas ho to ye farz pir-e-mughan ka hai

    na kisi ka jam chhalak paDe na kisi ko zarf se kam mile

    wahi bazm-gah ke charagh the thi unhi se shaukat-e-razm-gah

    magar aah banda-e-maslahat wahi ahl-e-saif-o-qalam mile

    wahan chaak parda-e-raaz tha baDi go-mago mein 'ayaz' tha

    jinhen apne zohd pe naz tha wo asir-e-zulf-e-sanam mile

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now