Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na hi zindagani kamal hai na hi maut mera zawal hai

Haqeer Jahani

na hi zindagani kamal hai na hi maut mera zawal hai

Haqeer Jahani

MORE BYHaqeer Jahani

    na zindagānī kamāl hai na maut merā zavāl hai

    ki javāb jis na mil sakā mire zehn meñ vo savāl hai

    jise ham samajhte haiñ marg hai vo to ik taġhayyur-e-hāl hai

    jiye jis ke hijr meñ umr-bhar vo ek lamha visāl hai

    faqat ik sarāb hai zindagī ki hasīñ ḳhvāb hai zindagī

    mire ḳhvāb āñkhoñ se chhin ga.e to ye zindagī bhī muhāl hai

    hai azal se yuuñ juuñ tuuñ mujhe rafta rafta guzār kar

    ye silsila shab-o-roz ye jo gardish-e-mah-o-sāl hai

    jo ho band aañkh to kyā ḳhabar hameñ saaf aane lage nazar

    jise ham samajhte haiñ zindagī faqat ek ḳhvāb-o-ḳhayāl hai

    na hi zindagani kamal hai na hi maut mera zawal hai

    ki jawab jis ka na mil saka mere zehn mein wo sawal hai

    jise hum samajhte hain marg hai wo to ek taghayyur-e-haal hai

    jiye jis ke hijr mein umr-bhar wo hi ek lamha visal hai

    faqat ek sarab hai zindagi ki hasin sa KHwab hai zindagi

    mere KHwab aankhon se chhin gae to ye zindagi bhi muhaal hai

    hai azal se yun hi tu jun ka tun mujhe rafta rafta guzar kar

    ye hi silsila shab-o-roz ka ye jo gardish-e-mah-o-sal hai

    jo ho band aankh to kya KHabar hamein saf aane lage nazar

    jise hum samajhte hain zindagi faqat ek KHwab-o-KHayal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now