Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi

Allama Iqbal

na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    Baal-e-Gibril

    na ho tuġhyān-e-mushtāqī to maiñ rahtā nahīñ baaqī

    ki merī zindagī kyā hai yahī tuġhyān-e-mushtāqī

    mujhe fitrat navā par pai-ba-pai majbūr kartī hai

    abhī mahfil meñ hai shāyad koī dard-āshnā baaqī

    vo ātish aaj bhī terā nasheman phūñk saktī hai

    talab sādiq na ho terī to phir kyā shikva-e-sāqī

    na kar afrañg andāza us tābnākī se

    ki bijlī ke charāġhoñ se hai is jauhar barrāqī

    diloñ meñ valvale āfāq-gīrī ke nahīñ uThte

    nigāhoñ meñ agar paidā na ho andāz-e-āfāqī

    ḳhizāñ meñ bhī kab aa saktā thā maiñ sayyād zad meñ

    mirī ġhammāz thī shāḳh-e-nasheman kam aurāqī

    ulaT jā.eñgī tadbīreñ badal jā.eñgī taqdīreñ

    haqīqat hai nahīñ mere taḳhayyul hai ḳhallāqī

    na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi

    ki meri zindagi kya hai yahi tughyan-e-mushtaqi

    mujhe fitrat nawa par pai-ba-pai majbur karti hai

    abhi mahfil mein hai shayad koi dard-ashna baqi

    wo aatish aaj bhi tera nasheman phunk sakti hai

    talab sadiq na ho teri to phir kya shikwa-e-saqi

    na kar afrang ka andaza us ki tabnaki se

    ki bijli ke charaghon se hai is jauhar ki barraqi

    dilon mein walwale aafaq-giri ke nahin uThte

    nigahon mein agar paida na ho andaz-e-afaqi

    KHizan mein bhi kab aa sakta tha main sayyaad ki zad mein

    meri ghammaz thi shaKH-e-nasheman ki kam auraqi

    ulaT jaengi tadbiren badal jaengi taqdiren

    haqiqat hai nahin mere taKHayyul ki hai KHallaqi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now