Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na hui saf tabiat hi to hai

Mirza Asman Jah Anjum

na hui saf tabiat hi to hai

Mirza Asman Jah Anjum

MORE BYMirza Asman Jah Anjum

    na huī saaf tabī.at to hai

    rah ga.ī dil meñ kudūrat to hai

    bhā ga.iiñ dil ko adā.eñ un

    khub ga.ī āñkhoñ meñ sūrat to hai

    merī mayyat pe na aa.e na sahī

    na huī aap ko fursat to hai

    nahīñ kartā maiñ jafā shikva

    aap kyā kījiye aadat to hai

    nahīñ aatā kasī pahlū ārām

    nahīñ kaTtī shab-e-furqat to hai

    niklī qātil na tire tiir ke saath

    dil meñ rah ga.ī hasrat to hai

    mujh se aasī pe ye baḳhshish ye karam

    banda-parvar tarī rahmat to hai

    na Talī sar se bulā-e-furqat

    paḌ ga.ī jaan pe aafat to hai

    ham ne pherā na dil apnā tujh se

    jaan de baiThe muravvat to hai

    hashr barpā hai tarī qāmat se

    ye bhī andāz-e-qayāmat to hai

    na rahā zabt yaarā 'anjum'

    na chhupī ham se mohabbat to hai

    na hui saf tabiat hi to hai

    rah gai dil mein kudurat hi to hai

    bha gain dil ko adaen un ki

    khub gai aankhon mein surat hi to hai

    meri mayyat pe na aae na sahi

    na hui aap ko fursat hi to hai

    nahin karta main jafa ka shikwa

    aap kya kijiye aadat hi to hai

    nahin aata kasi pahlu aaram

    nahin kaTti shab-e-furqat hi to hai

    nikli qatil na tere tir ke sath

    dil hi mein rah gai hasrat hi to hai

    mujh se aasi pe ye baKHshish ye karam

    banda-parwar tari rahmat hi to hai

    na Tali sar se bula-e-furqat

    paD gai jaan pe aafat hi to hai

    hum ne phera na dil apna tujh se

    jaan de baiThe murawwat hi to hai

    hashr barpa hai tari qamat se

    ye bhi andaz-e-qayamat hi to hai

    na raha zabt ka yara 'anjum'

    na chhupi hum se mohabbat hi to hai

    Source:

    Deewan-e-Anjum(website) (Pg. 133)

    • Author: Mirza Asman Jah Anjum
      • Edition: 1959
      • Publisher: Raja Ram Kumar Book Depot, Lucknow
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now