Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na jaane kab ki dabi talKHiyan nikal aain

Nafas Ambalvi

na jaane kab ki dabi talKHiyan nikal aain

Nafas Ambalvi

MORE BYNafas Ambalvi

    na jaane kab dabī talḳhiyāñ nikal aa.iiñ

    zarā baat thī aur barchhiyāñ nikal aa.iiñ

    huā ye ham pe añdheroñ sāzishoñ asar

    hamāre zehn meñ bhī khiḌkiyāñ nikal aa.iiñ

    mujhe navāz maulā ne phuul beTī

    mire hisāb meñ kuchh nekiyāñ nikal aa.iiñ

    vo peḌ jis pe qazā ban ke bijliyāñ TūTīñ

    sunā hai us pe harī pattiyāñ nikal aa.iiñ

    badaltī rut meñ ye kam-zarfiyoñ aalam hai

    biloñ se pañkh liye chyūñTiyāñ nikal aa.iiñ

    ḳhudā ke vāste ab to safar tamām karo

    ki ab qafas se bhī to uñgliyāñ nikal aa.iiñ

    ye mo.ajiza to hai ai 'nafas' ki tūfāñ meñ

    samundaroñ se sabhī kashtiyāñ nikal aa.iiñ

    na jaane kab ki dabi talKHiyan nikal aain

    zara si baat thi aur barchhiyan nikal aain

    hua ye hum pe andheron ki sazishon ka asar

    hamare zehn mein bhi khiDkiyan nikal aain

    mujhe nawaz di maula ne phul si beTi

    mere hisab mein kuchh nekiyan nikal aain

    wo peD jis pe qaza ban ke bijliyan TuTin

    suna hai us pe hari pattiyan nikal aain

    badalti rut mein ye kam-zarfiyon ka aalam hai

    bilon se pankh liye chyunTiyan nikal aain

    KHuda ke waste ab to safar tamam karo

    ki ab qafas se bhi to ungliyan nikal aain

    ye moajiza hi to hai ai 'nafas' ki tufan mein

    samundaron se sabhi kashtiyan nikal aain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now