Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na jaane kaun sa rishta hai mujhse nata hai

Naseem Ahmad Naseem

na jaane kaun sa rishta hai mujhse nata hai

Naseem Ahmad Naseem

MORE BYNaseem Ahmad Naseem

    na jaane kaun rishta hai mujh se naatā hai

    mirī ġhazal ko vo tanhā.iyoñ meñ gaatā hai

    darīche maiñ ne muqaffal to kar liye lekin

    vo ḳhushbuoñ tarah ghar meñ aatā jaatā hai

    maiñ us ke vāste mushkil ik sabaq Thahrā

    vo mujh ko yaad to kartā hai bhuul jaatā hai

    vo ek lams ki ab tak na bhuul paayā maiñ

    na jaane kaise kisī ko koī bhulātā hai

    'nasīm' jis se ta.alluq thā chand lamhoñ

    vo ban ke yād-e-guzishta mujhe satātā hai

    na jaane kaun sa rishta hai mujh se nata hai

    meri ghazal ko wo tanhaiyon mein gata hai

    dariche main ne muqaffal to kar liye lekin

    wo KHushbuon ki tarah ghar mein aata jata hai

    main us ke waste mushkil sa ek sabaq Thahra

    wo mujh ko yaad to karta hai bhul jata hai

    wo ek lams ki ab tak na bhul paya main

    na jaane kaise kisi ko koi bhulata hai

    'nasim' jis se talluq tha chand lamhon ka

    wo ban ke yaad-e-guzishta mujhe satata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now