na jaane kaun se mausam ke intizar mein hain
na jaane kaun se mausam ke intizār meñ haiñ
fasurda phuul jo kuchh dāman-e-bahār meñ haiñ
kisī kā haal nahīñ dekhtā yahāñ koī
sab apnī apnī tamannāoñ ke hisār meñ haiñ
shikasta qabroñ meñ mahsūr TūTe-phūTe jism
na jaane kab se qayāmat ke intizār meñ haiñ
ye kā.enāt aur is ke tamām lail-o-nahār
azal se kashmakash-e-jabr-o-iḳhtiyār meñ haiñ
qadam qadam pe yahāñ chīḳhne kī hai āvāz
ki jaise ham kisī maidān-e-kār-zār meñ haiñ
saroñ pe sāya-e-dīvār bhī nahīñ ab to
magar ham ab bhī bahāroñ ke intizār meñ haiñ
musāfiroñ se kaho thoḌī der ruk jaa.eñ
ki chand barg abhī shāḳh-e-sāya-dār meñ haiñ
ye apne ḳhuun ke rishte bhī bech sakte haiñ
kuchh aise log siyāsat ke kārobār meñ haiñ
mohabbatoñ kā hai jis din se silsila TuuTā
na vo sukūñ meñ haiñ 'arshad' na ham qarār meñ haiñ
na jaane kaun se mausam ke intizar mein hain
fasurda phul jo kuchh daman-e-bahaar mein hain
kisi ka haal nahin dekhta yahan koi
sab apni apni tamannaon ke hisar mein hain
shikasta qabron mein mahsur TuTe-phuTe jism
na jaane kab se qayamat ke intizar mein hain
ye kaenat aur is ke tamam lail-o-nahaar
azal se kashmakash-e-jabr-o-iKHtiyar mein hain
qadam qadam pe yahan chiKHne ki hai aawaz
ki jaise hum kisi maidan-e-kar-zar mein hain
saron pe saya-e-diwar bhi nahin ab to
magar hum ab bhi bahaaron ke intizar mein hain
musafiron se kaho thoDi der ruk jaen
ki chand barg abhi shaKH-e-saya-dar mein hain
ye apne KHun ke rishte bhi bech sakte hain
kuchh aise log siyasat ke karobar mein hain
mohabbaton ka hai jis din se silsila TuTa
na wo sukun mein hain 'arshad' na hum qarar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.