Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na jaane kis ne palaT kar ye di sada mujhko

Mustaqeem Arshad

na jaane kis ne palaT kar ye di sada mujhko

Mustaqeem Arshad

MORE BYMustaqeem Arshad

    na jaane kis ne palaT kar ye sadā mujh ko

    sujhā.ī detā nahīñ aage rāsta mujh ko

    maiñ us ke baare meñ sochūñ ġharaz nahīñ lekin

    vo dekhne meñ to achchhā-bhalā lagā mujh ko

    sitam nāg-phanī Das rahī thī tanhā.ī

    tire baġhair akele meñ Dar lagā mujh ko

    usī ke lams ḳhushbū basī hai sāñsoñ meñ

    ai kaash vo bhī to apne meñ DhūñDhtā mujh ko

    kisī bhī haal na chhūTe ye sabr dāman

    ḳhudā-e-pāk 'atā kar vo hausla mujh ko

    vo jis ko jiine maiñ ne shu'ūr baḳhshā thā

    dikhā rahā hai vahī shaḳhs ā.īna mujh ko

    har ek samt sitam Dhā rahe haiñ ibn-e-yazīd

    lage hai hind bhī maidān-e-karbalā mujh ko

    maiñ us ke vāste sab kuchh nisār kar detā

    agar vo pyaar se 'arshad' pukārtā mujh ko

    na jaane kis ne palaT kar ye di sada mujh ko

    sujhai deta nahin aage rasta mujh ko

    main us ke bare mein sochun gharaz nahin lekin

    wo dekhne mein to achchha-bhala laga mujh ko

    sitam ki nag-phani Das rahi thi tanhai

    tere baghair akele mein Dar laga mujh ko

    usi ke lams ki KHushbu basi hai sanson mein

    ai kash wo bhi to apne mein DhunDhta mujh ko

    kisi bhi haal na chhuTe ye sabr ka daman

    KHuda-e-pak 'ata kar wo hausla mujh ko

    wo jis ko jine ka main ne shu'ur baKHsha tha

    dikha raha hai wahi shaKHs aaina mujh ko

    har ek samt sitam Dha rahe hain ibn-e-yazid

    lage hai hind bhi maidan-e-karbala mujh ko

    main us ke waste sab kuchh nisar kar deta

    agar wo pyar se 'arshad' pukarta mujh ko

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 327)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now