na jaane kyon chale aate hain chupke se bahane se
na jaane kyoñ chale aate haiñ chupke se bahāne se
'ajab haiñ raaz āñkhoñ ke nahīñ chhupte chhupāne se
kisī banjar zamīñ par jis tarah bādal barastā hai
ragoñ meñ jaan paḌ jaatī hai un ke muskurāne se
jo dāman par lage haiñ daaġh dhul jā.eñge bārish meñ
ye dil ke daaġh haiñ aise nahīñ miTte miTāne se
zamāna ye na samjhe ab yahī hai āḳhirī manzil
guzar jā.eñge ye lamhe koī kah de zamāne se
sulagte manzar-o-māhaul sab bujh se ga.e lekin
jo sho'le dil meñ bhaḌke haiñ nahīñ bujhte bujhāne se
na jaane kyon chale aate hain chupke se bahane se
'ajab hain raaz aankhon ke nahin chhupte chhupane se
kisi banjar zamin par jis tarah baadal barasta hai
ragon mein jaan paD jati hai un ke muskurane se
jo daman par lage hain dagh dhul jaenge barish mein
ye dil ke dagh hain aise nahin miTte miTane se
zamana ye na samjhe ab yahi hai aaKHiri manzil
guzar jaenge ye lamhe koi kah de zamane se
sulagte manzar-o-mahaul sab bujh se gae lekin
jo sho'le dil mein bhaDke hain nahin bujhte bujhane se
- Book : Ishq (Pg. 40)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.