Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na jaane uske kitne hi sahaare sath rahte hain

Nazar Dwivedi

na jaane uske kitne hi sahaare sath rahte hain

Nazar Dwivedi

MORE BYNazar Dwivedi

    na jaane us ke kitne sahāre saath rahte haiñ

    vo paatā manzileñ jis ke sitāre saath rahte haiñ

    chale jaao kahīñ lekin akele tum nahīñ hote

    yaqīñ maano vahāñ ham bhī tumhāre saath rahte haiñ

    kahāñ chūhā kahāñ billī kahāñ kuttā kahāñ panchhī

    musībat jab paḌī ho to ye saare saath rahte haiñ

    falak tum ho zamīñ ham haiñ nahīñ mumkin kabhī milnā

    nadī ke bhī kahāñ donoñ kināre saath rahte haiñ

    akele tapā kartā vo sūraj aag meñ apnī

    ye shab ḳhush-nasībī hai jo taare saath rahte haiñ

    manāzir vo bhī dikhte haiñ jinheñ ho dekhnā mushkil

    kahāñ ḳhush-rang har dam nazāre saath rahte haiñ

    na samjhāo vatan tum taraqqī unheñ matlab

    ye bastī hai jahāñ qismat ke maare saath rahte haiñ

    akele ham raheñ phir bhī 'nazar' tanhā nahīñ hote

    tumhāre ḳhvāboñ ke saa.e hamāre saath rahte haiñ

    na jaane us ke kitne hi sahaare sath rahte hain

    wo pata manzilen jis ke sitare sath rahte hain

    chale jao kahin lekin akele tum nahin hote

    yaqin mano wahan hum bhi tumhaare sath rahte hain

    kahan chuha kahan billi kahan kutta kahan panchhi

    musibat jab paDi ho to ye sare sath rahte hain

    falak tum ho zamin hum hain nahin mumkin kabhi milna

    nadi ke bhi kahan donon kinare sath rahte hain

    akele hi tapa karta wo suraj aag mein apni

    ye shab ki KHush-nasibi hai jo tare sath rahte hain

    manazir wo bhi dikhte hain jinhen ho dekhna mushkil

    kahan KHush-rang har dam hi nazare sath rahte hain

    na samjhao watan ki tum taraqqi ka unhen matlab

    ye basti hai jahan qismat ke mare sath rahte hain

    akele hum rahen phir bhi 'nazar' tanha nahin hote

    tumhaare KHwabon ke sae hamare sath rahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now