Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na jis mein aarzu hoti na jis mein muddaa hota

Nashtar Chaprawi

na jis mein aarzu hoti na jis mein muddaa hota

Nashtar Chaprawi

MORE BYNashtar Chaprawi

    na jis meñ aarzū hotī na jis meñ mudda.ā hotā

    mujhe bhī ek dil yā-rab koī aisā diyā hotā

    shab-e-va.ada vo aatā bhī to kyā is ke sivā hotā

    jo maiñ sarf-e-vafā hotā to vo garm-e-jafā hotā

    shab-e-furqat agar naala mire dil rasā hotā

    falak kyā chiiz hai arsh-e-mua.allā hil gayā hotā

    dikhā detā agar maiñ dāġh-hā-e-dil kabhī un ko

    mirā zimma jo phir mashq-e-sitam hausla hotā

    diyā thā dil to detā ishq bhī apnā use yā-rab

    milā thā sar to saudā bhī tirā ḳhudā hotā

    ḳhatā kyā yaar is meñ jo qabl-az-vaqt maut aa.ī

    vafā kartī jo merī umr to va.ada vafā hotā

    na aatā thā unheñ kyā mujh ko miTTī meñ milā denā

    magar Dar thā ki hotā ḳhaak bhī to kīmiyā hotā

    adū ke dastaḳhat se ḳhat mujhe bhejā hai kāfir ne

    muqaddar jo likkhā thā na kyūñkar vo adā hotā

    tirī kotāh-bīnī ne tujhe khoyā hai ai vaa.iz

    ḳhudā ko jaan jaatā gar butoñ se āshnā hotā

    sar-o-tan chalā aatā hai jhagḌā ek muddat se

    madad kartī tirī talvār to kuchh faisla hotā

    tire sadqe nigāh-e-nāz kyoñ aġhmāz kartī hai

    hamārī baat ban jaatī tirā nuqsān kyā hotā

    kahīñ pur-lutf hai ye qissa-e-farhād-o-majnūñ se

    hamāre dil dukhḌā bhī kabhī sāhib sunā hotā

    na aa.e tum na aate bhejte tasvīr apnī

    mire dil ko bahalne koī to mashġhalā hotā

    ġham-e-jānāñ na detā saath merā bhī furqat meñ

    usī tarah zālim kaash bhī bevafā hotā

    mire dil se vo rah rah kar kisī naaz se kahnā

    ajab ik chiiz hotā agar be-mudda.ā hotā

    sunātā qissa-e-ġham tujh meñ ġham-ḳhvārī agar hotī

    dikhātā dard-e-dil tujh ko jo dard-āshnā hotā

    dil-e-vahshī na kahtā thā ki baaz aa ishq-e-gesū se

    mirī suntā to kyoñ kāfir giraftār-e-balā hotā

    janāb-e-ḳhizr deñge saath kyā sahrā-e-ulfat meñ

    dil-e-āfat-talab hamārā rahnumā hotā

    ye kyā saudā-e-hūrān-e-ḳhayālī tujh ko hai zāhid

    kisī kāfir-adā par to fidā mard-e-ḳhudā hotā

    baḌe nāz-o-ni.am se ham ne ai dil tujh ko paalā thā

    ḳhudā.ī ham se phir jaatī na lekin judā hotā

    khiñche jaate the vo ḳhanjar sūrat vasl meñ 'nashtar'

    nikaltī ḳhaak hasrat ḳhaak puurā hausla hotā

    na jis mein aarzu hoti na jis mein muddaa hota

    mujhe bhi ek dil ya-rab koi aisa diya hota

    shab-e-wada wo aata bhi to kya is ke siwa hota

    jo main sarf-e-wafa hota to wo garm-e-jafa hota

    shab-e-furqat agar nala mere dil ka rasa hota

    falak kya chiz hai arsh-e-mualla hil gaya hota

    dikha deta agar main dagh-ha-e-dil kabhi un ko

    mera zimma jo phir mashq-e-sitam ka hausla hota

    diya tha dil to deta ishq bhi apna use ya-rab

    mila tha sar to sauda bhi tera hi ya KHuda hota

    KHata kya yar ki is mein jo qabl-az-waqt maut aai

    wafa karti jo meri umr to wada wafa hota

    na aata tha unhen kya mujh ko miTTi mein mila dena

    magar Dar tha ki hota KHak bhi to kimiya hota

    adu ke dastaKHat se KHat mujhe bheja hai kafir ne

    muqaddar ka jo likkha tha na kyunkar wo ada hota

    teri kotah-bini ne tujhe khoya hai ai waiz

    KHuda ko jaan jata gar buton se aashna hota

    sar-o-tan ka chala aata hai jhagDa ek muddat se

    madad karti teri talwar to kuchh faisla hota

    tere sadqe nigah-e-naz kyon aghmaz karti hai

    hamari baat ban jati tera nuqsan kya hota

    kahin pur-lutf hai ye qissa-e-farhad-o-majnun se

    hamare dil ka dukhDa bhi kabhi sahib suna hota

    na aae tum na aate bhejte taswir hi apni

    mere dil ko bahalne ka koi to mashghala hota

    gham-e-jaanan na deta sath mera tu bhi furqat mein

    usi ki tarah zalim kash tu bhi bewafa hota

    mere dil se wo rah rah kar kisi ka naz se kahna

    ajab ek chiz tu hota agar be-muddaa hota

    sunata qissa-e-gham tujh mein gham-KHwari agar hoti

    dikhata dard-e-dil tujh ko jo tu dard-ashna hota

    dil-e-wahshi na kahta tha ki baz aa ishq-e-gesu se

    meri sunta to kyon kafir giraftar-e-bala hota

    janab-e-KHizr denge sath kya sahra-e-ulfat mein

    dil-e-afat-talab tu hi hamara rahnuma hota

    ye kya sauda-e-huran-e-KHayali tujh ko hai zahid

    kisi kafir-ada par to fida mard-e-KHuda hota

    baDe naz-o-niam se hum ne ai dil tujh ko pala tha

    KHudai hum se phir jati na lekin tu juda hota

    khinche jate the wo KHanjar ki surat wasl mein 'nashtar'

    nikalti KHak hasrat KHak pura hausla hota

    Source:

    Deewan-e-Nashtar (Pg. 3)

    • Author: Nashtar Chaprawi
      • Publisher: Sitara-e-Hind Press Limited, Kolkata
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now