na kaho ilaj kiya nahin
na kaho 'ilāj kiyā nahīñ
rahā fā.eda so huā nahīñ
mujhe sirf is kī sazā milī
ki maiñ be-gunāh lagā nahīñ
yahī shukr hai mirā faisla
kisī aur din pe Talā nahīñ
use yaar kahiye to kis tarah
jo thā ghar meñ aur milā nahīñ
jo sunā vo sunñe kā Dhoñg thā
jo kahā vo yaad rahā nahīñ
mire naam laakh shikār hoñ
pa ye jaal maiñ ne bunā nahīñ
bilā-vaj.h āfateñ mol liiñ
kahīñ daur jaane kā thā nahīñ
na kaho 'ilaj kiya nahin
raha faeda so hua nahin
mujhe sirf is ki saza mili
ki main be-gunah laga nahin
yahi shukr hai mera faisla
kisi aur din pe Tala nahin
use yar kahiye to kis tarah
jo tha ghar mein aur mila nahin
jo suna wo sunne ka Dhong tha
jo kaha wo yaad raha nahin
mere nam lakh shikar hon
pa ye jal main ne buna nahin
bila-wajh aafaten mol lin
kahin daur jaane ka tha nahin
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 110)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.