Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na kar kisi ki mohabbat ka eatibar na kar

Ilyas Raj Bhatti

na kar kisi ki mohabbat ka eatibar na kar

Ilyas Raj Bhatti

MORE BYIlyas Raj Bhatti

    na kar kisī mohabbat e.atibār na kar

    tamām umr tamanna ko sogvār na kar

    ḳhulūs-e-dil hai baḌī chiiz zindagī ke liye

    zarā se ġham meñ garebāñ ko taar taar na kar

    jabīn-e-shauq ko pāmāl kar na yaas ke naam

    yuuñ zulm apnī javānī pe be-shumār na kar

    unheñ to shaam Dhale niiñd aa ga.ī hogī

    sahar ke vaqt sitāroñ intizār na kar

    kahā thā us ne tumheñ pyaar ham bhī karte haiñ

    to us bātoñ aise to e.atibār na kar

    ye jaan kar bhī ki london pe 'raaj hai us

    merī maan le us par yuuñ iḳhtiyār na kar

    na kar kisi ki mohabbat ka eatibar na kar

    tamam umr tamanna ko sogwar na kar

    KHulus-e-dil hai baDi chiz zindagi ke liye

    zara se gham mein gareban ko tar tar na kar

    jabin-e-shauq ko pamal kar na yas ke nam

    yun zulm apni jawani pe be-shumar na kar

    unhen to sham Dhale nind aa gai hogi

    sahar ke waqt sitaron ka intizar na kar

    kaha tha us ne tumhein pyar hum bhi karte hain

    to us ki baaton ka aise to eatibar na kar

    ye jaan kar bhi ki london pe 'raj hai us ka

    tu meri man le us par yun iKHtiyar na kar

    Source:

    Pahli Dastak (Pg. 54)

    • Author: Ilyas Raj Bhatti
      • Publisher: Adeeb International, Ludhiana
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now