Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na karta zabt main nala to phir aisa dhuan hota

Shaikh Ibrahim Zauq

na karta zabt main nala to phir aisa dhuan hota

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    na kartā zabt maiñ naala to phir aisā dhuāñ hotā

    ki nīche āsmāñ ke aur paidā āsmāñ hotā

    kahe hai murġh-e-dil ai kaash meñ zāġh-e-kamāñ hotā

    ki shāḳh-e-kamāñ par us merā āshiyāñ hotā

    abhī kyā sard qātil ye shahīd-e-tufta-jāñ hotā

    koī dam sham-e-murda meñ bhī hai baaqī dhuāñ hotā

    na hotī dil meñ kāvish gar kisī nok-e-mizhgāñ

    to kyuuñ haq meñ mire har mū-e-tan misl-e-sināñ hotā

    azā-dārī meñ hai kis ye charḳh-e-mātamī-jāma

    ki habīb-e-chāk sūrat hai ḳhatt-e-kahkahshāñ hotā

    bagūlā gar na hotā vādi-e-vahshat meñ ai majnūñ

    to gumbad ham se sar-gashtoñ turbat par kahāñ hotā

    jo rotā khol kar dil tañgnā-e-dahr meñ āshiq

    to jū-e-kahkashāñ meñ bhī falak par ḳhuuñ ravāñ hotā

    na rakhtā gar na rakhtā muñh pe ye daanā marīz-e-ġham

    magar terā mayassar bosa-e-ḳhāl-e-dahāñ hotā

    tire ḳhūnīñ jigar ḳhaak par hotā agar sabza

    to mizhgāñ tarah us se bhī paiham ḳhuuñ ravāñ hotā

    rukāvaT dil us kāfir ke vaqt-e-zab.h zāhir hai

    ki ḳhanjar merī gardan par hai ruk ruk kar ravāñ hotā

    na kartā zabt maiñ girya to ai 'zauq' ik ghaḌī bhar meñ

    kaTore tarah ghaḌiyāl ke ġharq āsmāñ hotā

    na karta zabt main nala to phir aisa dhuan hota

    ki niche aasman ke aur paida aasman hota

    kahe hai murgh-e-dil ai kash mein zagh-e-kaman hota

    ki ta shaKH-e-kaman par us ki mera aashiyan hota

    abhi kya sard qatil ye shahid-e-tufta-jaan hota

    koi dam sham-e-murda mein bhi hai baqi dhuan hota

    na hoti dil mein kawish gar kisi ki nok-e-mizhgan ki

    to kyun haq mein mere har mu-e-tan misl-e-sinan hota

    aza-dari mein hai kis ki ye charKH-e-matami-jama

    ki habib-e-chaak ki surat hai KHatt-e-kahkahshan hota

    bagula gar na hota wadi-e-wahshat mein ai majnun

    to gumbad hum se sar-gashton ki turbat par kahan hota

    jo rota khol kar dil tangna-e-dahr mein aashiq

    to ju-e-kahkashan mein bhi falak par KHun rawan hota

    na rakhta gar na rakhta munh pe ye dana mariz-e-gham

    magar tera mayassar bosa-e-KHal-e-dahan hota

    tere KHunin jigar ki KHak par hota agar sabza

    to mizhgan ki tarah us se bhi paiham KHun rawan hota

    rukawaT dil ki us kafir ke waqt-e-zabh zahir hai

    ki KHanjar meri gardan par hai ruk ruk kar rawan hota

    na karta zabt main girya to ai 'zauq' ek ghaDi bhar mein

    kaTore ki tarah ghaDiyal ke gharq aasman hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now