aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na Khaali zehn yun duniya ka rah jae

Mahshar Badayuni

na Khaali zehn yun duniya ka rah jae

Mahshar Badayuni

MORE BYMahshar Badayuni

    na ḳhālī zehn yuuñ duniyā rah jaa.e

    ki saarā kaam naqsh-e-pā rah jaa.e

    zamīnoñ par na yuuñ qabza kareñ shahr

    koī to rāsta sahrā rah jaa.e

    mire baare meñ lahreñ kuchh bhī socheñ

    maiñ kahtā huuñ bharam dariyā rah jaa.e

    jo rāh-e-jāñ meñ zāhir naqsh-e-jāñ ho

    safar aadhā safar-paimā rah jaa.e

    numūd-e-zaḳhm kam aur ye tamannā

    qafas ho kar qafas-ārā rah jaa.e

    alag us naġhma hai shajar par

    qayām us tā.ir-e-tanhā rah jaa.e

    na KHali zehn yun duniya ka rah jae

    ki sara kaam naqsh-e-pa ka rah jae

    zaminon par na yun qabza karen shahr

    koi to rasta sahra ka rah jae

    mere bare mein lahren kuchh bhi sochen

    main kahta hun bharam dariya ka rah jae

    jo rah-e-jaan mein zahir naqsh-e-jaan ho

    safar aadha safar-paima ka rah jae

    numud-e-zaKHm kam aur ye tamanna

    qafas ho kar qafas-ara ka rah jae

    alag hi us ka naghma hai shajar par

    qayam us tair-e-tanha ka rah jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now