Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na khincho aashiq-tishna-jigar ke tir pahlu se

Shaikh Ibrahim Zauq

na khincho aashiq-tishna-jigar ke tir pahlu se

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    na khīñcho āshiq-tishna-jigar ke tiir pahlū se

    nikāle par hai misl-e-māhi-e-tasvīr pahlū se

    na le ai nāvak-afgan dil ko mere chiir pahlū se

    ki vo to chukā saath aah ke juuñ tiir pahlū se

    dil-e-sīpāra ko le Taañk tāvīzoñ meñ haikal ke

    na sarkā ye hamā.il ai but-e-be-pīr pahlū se

    vo hoñ be-dast-o-pā bismil rasā.ī jab na haath aa.ī

    kiyā pā-e-qātil az tah-e-shamshīr pahlū se

    asīr-e-zulf dīvāne haiñ dekh ai pāsbāñ shab ko

    dabā kar baiTh un ke paañv zanjīr pahlū se

    musavvir lailā o majnūñ nākāmī pe hairāñ haiñ

    kabhī baiThā na mil kar pahlū-e-tasvīr pahlū se

    ye dil lab-tishna teġh-e-yār hai raat bhar kartā

    sadā-e-al-ātish juuñ nāla-e-shab-gīr pahlū se

    ajab hasrat aalam thā ki majnūñ kahtā thā paiham

    chhuTe pahlū mire mahmil taqdīr pahlū se

    na kahnā ustuḳhvāñ un ko ye aalam lāġharī hai

    ki hai dikhlā rahā merā dil-e-dil-gīr pahlū se

    ḳhayāl-e-abru-e-jānāñ nahīñ ab bhūltā ik dam

    sipāhī hai judā kartā nahīñ shamshīr pahlū se

    tamām ahl-e-suḳhan bazm-e-suḳhan meñ 'zauq' hairāñ haiñ

    milā jo qāfiya ne kiyā tahrīr pahlū se

    na khincho aashiq-tishna-jigar ke tir pahlu se

    nikale par hai misl-e-mahi-e-taswir pahlu se

    na le ai nawak-afgan dil ko mere chir pahlu se

    ki wo to ja chuka sath aah ke jun tir pahlu se

    dil-e-sipara ko le Tank tawizon mein haikal ke

    na sarka ye hamail ai but-e-be-pir pahlu se

    wo hon be-dast-o-pa bismil rasai jab na hath aai

    kiya ta pa-e-qatil az tah-e-shamshir pahlu se

    asir-e-zulf diwane hain dekh ai pasban shab ko

    daba kar baiTh un ke panw ki zanjir pahlu se

    musawwir laila o majnun ki nakaami pe hairan hain

    kabhi baiTha na mil kar pahlu-e-taswir pahlu se

    ye dil lab-tishna tegh-e-yar ka hai raat bhar karta

    sada-e-al-atish jun nala-e-shab-gir pahlu se

    ajab hasrat ka aalam tha ki majnun kahta tha paiham

    chhuTe pahlu mere mahmil ka ya taqdir pahlu se

    na kahna ustuKHwan un ko ye aalam laghari ka hai

    ki hai dikhla raha mera dil-e-dil-gir pahlu se

    KHayal-e-abru-e-jaanan nahin ab bhulta ek dam

    sipahi hai juda karta nahin shamshir pahlu se

    tamam ahl-e-suKHan bazm-e-suKHan mein 'zauq' hairan hain

    mila jo qafiya tu ne kiya tahrir pahlu se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now