aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na KHwahish hai gadai ki na hai arman shahi ka

Maroof Dehlvi

na KHwahish hai gadai ki na hai arman shahi ka

Maroof Dehlvi

MORE BYMaroof Dehlvi

    na ḳhvāhish hai gadā.ī na hai armān shāhī

    ilāhī ishq de bande ko mahbūb-e-ilāhī

    agar rakkhe tire kūche sarhad se qadam bāhar

    gumāñ phir ḳhizr par le jaa.eñ ham gum-karda raahī

    yahāñ to dāġh-e-ḳhūñ dāman se dhoyā ne ai hāmil

    vahāñ ik din khilegā gul hamārī be-gunāhī

    bahut āshiq to maqtūl-e-nigāh-o-ġhamza haiñ lekin

    ye terā nīm-jāñ bismil hai terī kam-nigāhī

    ġhulāmī 'ḳhusrav'-e-dehlī hai 'mārūf' faḳhr apnā

    ki ham āshiq hai ham ma.ashūq mahbūb-e-ilāhī

    na KHwahish hai gadai ki na hai arman shahi ka

    ilahi ishq de bande ko mahbub-e-ilahi ka

    agar rakkhe tere kuche ki sarhad se qadam bahar

    guman phir KHizr par le jaen hum gum-karda rahi ka

    yahan to dagh-e-KHun daman se dhoya tu ne ai hamil

    wahan ek din khilega gul hamari be-gunahi ka

    bahut aashiq to maqtul-e-nigah-o-ghamza hain lekin

    ye tera nim-jaan bismil hai teri kam-nigahi ka

    ghulami 'KHusraw'-e-dehli ki hai 'maruf' faKHr apna

    ki hum aashiq hai hum mashuq mahbub-e-ilahi ka

    Source:

    Intikhab-e-Sukhan,Volume-001 (Pg. 130)

      • Edition: 1983
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now