Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na koi aah na koi KHalish na dard na gham

Moin Ahsan Jazbi

na koi aah na koi KHalish na dard na gham

Moin Ahsan Jazbi

MORE BYMoin Ahsan Jazbi

    na koī aah na koī ḳhalish na dard na ġham

    vo yaad aa.e to pahroñ sukūt aalam

    dikhā ga.ī mujhe nairañgiyāñ zamāne

    vo ik nigāh kabhī multafit kabhī barham

    halāvatoñ meñ vo Duubī ik karam nigāh

    latāfatoñ meñ vo lipTe hue hazār sitam

    vo ek sham ki ḳhud jal uThe haiñ ghar ke charāġh

    vo ek sub.h ki ḳhud jis pe ro paḌī shabnam

    mohabbatoñ meñ ye īmāñ ye chashm-e-nam ye taḌap

    butoñ se ham ko bahut kuchh milā ḳhudā qasam

    ajiib dhun thī ki Thahre kahīñ na dīvāne

    vo rāhatoñ chaman ho ki ḳhār-zār-e-alam

    na pūchh kyuuñ mujhe aate haiñ yaad ai 'jazbī'

    jahān-e-dard meñ dard-e-jahāñ ke vo mahram

    na koi aah na koi KHalish na dard na gham

    wo yaad aae to pahron sukut ka aalam

    dikha gai mujhe nairangiyan zamane ki

    wo ek nigah kabhi multafit kabhi barham

    halawaton mein wo Dubi si ek karam ki nigah

    latafaton mein wo lipTe hue hazar sitam

    wo ek sham ki KHud jal uThe hain ghar ke charagh

    wo ek subh ki KHud jis pe ro paDi shabnam

    mohabbaton mein ye iman ye chashm-e-nam ye taDap

    buton se hum ko bahut kuchh mila KHuda ki qasam

    ajib dhun thi ki Thahre kahin na diwane

    wo rahaton ka chaman ho ki KHar-zar-e-alam

    na puchh kyun mujhe aate hain yaad ai 'jazbi'

    jahan-e-dard mein dard-e-jahan ke wo mahram

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 305)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now