aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na koi jalwati na koi KHalwati na koi KHas tha na koi aam tha

Arzoo Lakhnavi

na koi jalwati na koi KHalwati na koi KHas tha na koi aam tha

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    na koī jalvatī na koī ḳhalvatī na koī ḳhaas thā na koī aam thā

    na koī husn thā na koī ishq thā na yahī naam thā na vahī naam thā

    na koī thā makīñ na koī thā makāñ na koī thī zamīñ na koī thā zamāñ

    na koī sharq thā na koī ġharb thā na dam-e-sub.h thā na sar-e-shām thā

    azal lā-yazal abad be-badal jo bane āj-kal ufuq-sad-amal

    na kahīñ the ḳhafī na kahīñ the jalī na koī thā nishāñ na koī naam thā

    talab-e-mudda.ā havas-e-nāravā jo kabhī kuchh kahā vo hue be-maza

    vo bajā-e-jazā suḳhan-e-nāstrā shajar-e-hirs samar-e-ḳhām thā

    jo lage aag bhī to na ho zau-fishāñ jo bujhe sho.ala bhī to na uThe dhuāñ

    na gila hijr na sila ishq ye vahī hukm thā jo mire naam thā

    jo bujhī sham-e-dil to baḌhī raushnī jo piyā zahr-e-ġham to baḌhī zindagī

    ye ab batā zarā munsifī ye tirā kaam thā ki mirā kaam thā

    suḳhan-e-'ārzū' chaman-e-ārzū ḳhutan-e-ārzū adn-e-ārzū

    ye dur-e-be-sadaf qamar-e-bā-sharaf na tah-e-ḳhāna thā na sar-e-bām thā

    na koi jalwati na koi KHalwati na koi KHas tha na koi aam tha

    na koi husn tha na koi ishq tha na yahi nam tha na wahi nam tha

    na koi tha makin na koi tha makan na koi thi zamin na koi tha zaman

    na koi sharq tha na koi gharb tha na dam-e-subh tha na sar-e-sham tha

    azal la-yazal abad be-badal jo bane aaj-kal ufuq-sad-amal

    na kahin the KHafi na kahin the jali na koi tha nishan na koi nam tha

    talab-e-muddaa hawas-e-narawa jo kabhi kuchh kaha wo hue be-maza

    wo baja-e-jaza suKHan-e-nastra shajar-e-hirs ka samar-e-KHam tha

    jo lage aag bhi to na ho zau-fishan jo bujhe shoala bhi to na uThe dhuan

    na gila hijr ka na sila ishq ka ye wahi hukm tha jo mere nam tha

    jo bujhi sham-e-dil to baDhi raushni jo piya zahr-e-gham to baDhi zindagi

    ye tu hi ab bata zara munsifi ye tera kaam tha ki mera kaam tha

    suKHan-e-'arzu' chaman-e-arzu KHutan-e-arzu adn-e-arzu

    ye dur-e-be-sadaf qamar-e-ba-sharaf na tah-e-KHana tha na sar-e-baam tha

    Source:

    Nishaan-e-Aarzu (Pg. ebook-12 page-4)

    • Author: Anwar Husain Arzoo
      • Edition: 1968
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now