na koi KHwab hamare hain na tabiren hain
na koī ḳhvāb hamāre haiñ na ta.abīreñ haiñ
ham to paanī pe banā.ī huī tasvīreñ haiñ
kyā ḳhabar kab kisī insān pe chhat aan gire
qarya-e-sañg hai aur kāñch kī tāmīreñ haiñ
luT ga.e muft meñ donoñ, tirī daulat mirā dil
ai saḳhī! terī mirī ek sī taqdīreñ haiñ
ham jo nā-ḳhvāñda nahīñ haiñ to chalo aao paḌheñ
vo jo dīvār pe likkhī huī tahrīreñ haiñ
ho na ho ye koī sach bolne vaalā hai 'qatīl'
jis ke hāthoñ meñ qalam paañv meñ zanjīreñ haiñ
na koi KHwab hamare hain na tabiren hain
hum to pani pe banai hui taswiren hain
kya KHabar kab kisi insan pe chhat aan gire
qarya-e-sang hai aur kanch ki tamiren hain
luT gae muft mein donon, teri daulat mera dil
ai saKHi! teri meri ek si taqdiren hain
hum jo na-KHwanda nahin hain to chalo aao paDhen
wo jo diwar pe likkhi hui tahriren hain
ho na ho ye koi sach bolne wala hai 'qatil'
jis ke hathon mein qalam panw mein zanjiren hain
- Book : Dastavez (Pg. 66)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.