na koi monis-o-hamdam na koi yawar tha

Sajid Khairabadi

na koi monis-o-hamdam na koi yawar tha

Sajid Khairabadi

MORE BYSajid Khairabadi

  na koī monis-o-hamdam na koī yāvar thā

  rafīq-e-ġham jo mirā thā to qalb-e-muztar thā

  kisī ke husn-e-fusūñ-gar meñ ye bhī jauhar thā

  ki ab vo mom huā hai kabhī jo patthar thā

  tumhāre ishq ne fikr-o-nazar ko vus.at

  rah-e-hayāt meñ chalnā to varna dūbhar thā

  abas ḳhulūs-o-muravvat ko tum ne chhoḌ diyā

  urūs-e-zīst logo yahī to zevar thā

  ye taaj tāj-mahal ishq badaulat hai

  vagarna ye to faqat qasr-e-sang-e-marmar thā

  tumhārā naam merā rafīq-e-jāñ Thahrā

  tumhārā ġham mirī zindagī mehvar thā

  isī sabab to maiñ kal shab huā thā nam-dīda

  mirī nazar meñ tirī ruḳhsatī manzar thā

  nigāh-e-ahl-e-ḳhirad meñ na jis qīmat thī

  nigāh-e-ahl-e-junūñ meñ vo sab se behtar thā

  mujhe bhī manzil-e-maqsūd mil ga.ī 'sājid'

  har ik qadam pe mirā azm merā rahbar thā

  na koi monis-o-hamdam na koi yawar tha

  rafiq-e-gham jo mera tha to qalb-e-muztar tha

  kisi ke husn-e-fusun-gar mein ye bhi jauhar tha

  ki ab wo mom hua hai kabhi jo patthar tha

  tumhaare ishq ne fikr-o-nazar ko wusat di

  rah-e-hayat mein chalna to warna dubhar tha

  abas KHulus-o-murawwat ko tum ne chhoD diya

  urus-e-zist ka logo yahi to zewar tha

  ye taj taj-mahal ishq ki badaulat hai

  wagarna ye to faqat qasr-e-sang-e-marmar tha

  tumhaara nam hi mera rafiq-e-jaan Thahra

  tumhaara gham hi meri zindagi ka mehwar tha

  isi sabab to main kal shab hua tha nam-dida

  meri nazar mein teri ruKHsati ka manzar tha

  nigah-e-ahl-e-KHirad mein na jis ki qimat thi

  nigah-e-ahl-e-junun mein wo sab se behtar tha

  mujhe bhi manzil-e-maqsud mil gai 'sajid'

  har ek qadam pe mera azm mera rahbar tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now